maana sabko saccha pyaar nahin hota
par jhoota bhi to har baar nahin hota
tumko gar karna hai to kar sakte ho
lekin hamse laut ke vaar nahin hota
man mein rahne waale ko sab dikhta hai
is ghar mein koi bezaar nahin hota
ishq tareeqa hai karne waalon ke liye
dost badan iska izhaar nahin hota
ab logon ke chehre rang badalte hain
aaina koi hushiyaar nahin hota
umr bitaani padti hai ik haan ke liye
baaton se kuchh apna yaar nahin hota
jo dil mein rahkar bhi kar de khoon mera
vo phir maafi ka haqdaar nahin hota
माना सबको सच्चा प्यार नहीं होता
पर झूठा भी तो हर बार नहीं होता
तुमको गर करना है तो कर सकते हो
लेकिन हमसे लौट के वार नहीं होता
मन में रहने वाले को सब दिखता है
इस घर में कोई बेज़ार नहीं होता
इश्क़ तरीक़ा है करने वालों के लिए
दोस्त बदन इसका इज़हार नहीं होता
अब लोगों के चेहरे रंग बदलते हैं
आईना कोई हुशियार नहीं होता
उम्र बितानी पड़ती है इक हाँ के लिए
बातों से कुछ अपना यार नहीं होता
जो दिल में रहकर भी कर दे ख़ून मिरा
वो फिर माफ़ी का हक़दार नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manish watan
our suggestion based on Manish watan
As you were reading Diversity Shayari Shayari