tere ishq ki hi talabgaar hoon main
wafaaein nibhaati wafaadar hoon main
hawa se na bujhti sulagti rahi hoon
kisi zalzale ki vo angaar hoon main
khule aasmaan mein khadi hoon sadi se
purane zamaane ki deewaar hoon main
kai baar जीती,हमीं ne ladai
adoo se lade hai vo talwaar hoon main
kisi ke liye hoon sabab sirf koi
kabhi बेकसूरों,की takraar hoon main
chhape hai kabhi sach galat jhooth jismein
lage jo sahi है,वो akhbaar hoon main
mohabbat kare jo khule-'aam dil se
use log kahte wahin pyaar hoon main
galat faisale jab kabhi ho kachhari
tabhi main manohar gunahgaar hoon main
तेरे इश्क़ की ही तलबगार हूँ मैं
वफ़ाएँ निभाती वफ़ादार हूँ मैं
हवा से न बुझती सुलगती रही हूँ
किसी ज़लज़ले की वो अंगार हूँ मैं
खुले आसमाँ में खड़ी हूँ सदी से
पुराने ज़माने की दीवार हूँ मैं
कई बार जीती,हमीं ने लड़ाई
अदू से लड़े है वो तलवार हूँ मैं
किसी के लिए हूँ ,सबब सिर्फ़ कोई
कभी बेकसूरों,की तकरार हूँ मैं
छपे है कभी सच ग़लत झूठ जिसमें
लगे जो सही है,वो अख़बार हूँ मैं
मोहब्बत करे जो खुले-'आम दिल से
उसे लोग कहते वहीं प्यार हूँ मैं
ग़लत फ़ैसले जब कभी हो कचहरी
तभी मैं 'मनोहर' गुनहगार हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Aawargi Shayari Shayari