uljhta jaaye hai daaman kisi ka
khudaara dekhiyega fan kisi ka
kahi zulfen sanwaari ja rahi hain
pukaare hai mujhe darpan kisi ka
kisi ke ghar pe khushiyon ki fiza hai
sulagta hai kahi gulshan kisi ka
mere seene mein tum kahte ho dil hai
mujhe lagta hai ye madfan kisi ka
hamaara ghar hamaara ghar nahin hai
kisi ki chat to hai aangan kisi ka
na hak cheeno kisi ka ai luteron
na luto is tarah jeevan kisi ka
labon pe aah thi aankhon mein aansoon
manu guzra hai yun saawan kisi ka
उलझता जाए है दामन किसी का
ख़ुदारा देखिएगा फन किसी का
कहीं जुल्फें संवारी जा रही हैं
पुकारे है मुझे दरपन किसी का
किसी के घर पे खुशियों की फिज़ा है
सुलगता है कहीं गुलशन किसी का
मेरे सीने में तुम कहते हो दिल है
मुझे लगता है ये मदफन किसी का
हमारा घर, हमारा घर नहीं है
किसी की छत तो है आँगन किसी का
न हक छीनो किसी का ऐ लुटेरों
न लूटो इस तरह जीवन किसी का
लबों पे आह थी, आँखों में आँसूं
'मनु' गुज़रा है यूँ सावन किसी का
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Manu Bharadwaj
As you were reading Lab Shayari Shayari