arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahin raha | अर्ज़-ए-नियाज़-ए-इश्क़ के क़ाबिल नहीं रहा

  - Mirza Ghalib

arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahin raha
jis dil pe naaz tha mujhe vo dil nahin raha

jaata hoon daag-e-hasrat-e-hasti liye hue
hoon sham-e-kushta dar-khur-e-mehfil nahin raha

marne ki ai dil aur hi tadbeer kar ki main
shaayan-e-dast-o-baazu-e-qaatil nahin raha

bar-roo-e-shash-jehat dar-e-aaina baaz hai
yaa imtiyaaz-e-naaqis-o-kaamil nahin raha

vaa kar diye hain shauq ne band-e-naqaab-e-husn
ghair-az-nigaah ab koi haa'il nahin raha

go main raha raheen-e-sitm-ha-e-rozgaar
lekin tire khayal se ghaafil nahin raha

dil se hawa-e-kisht-e-wafa mit gai ki waan
haasil sivaae hasrat-e-haasil nahin raha

bedaad-e-ishq se nahin darta magar asad
jis dil pe naaz tha mujhe vo dil nahin raha

har-chand main hoon tooti-e-sheerin-sukhan wale
aaina aah mere muqaabil nahin raha

jaan-daad-gaan ka hausla fursat-gudaaz hai
yaa arsa-e-tapeedan-e-bismil nahin raha

hoon qatra-zan ba-waadi-e-hasrat shabaana roz
juz taar-e-ashk jaada-e-manzil nahin raha

ai aah meri khaatir-e-waabasta ke siva
duniya mein koi uqda-e-mushkil nahin raha

andaaz-e-naala yaad hain sab mujh ko par asad
jis dil pe naaz tha mujhe vo dil nahin raha

अर्ज़-ए-नियाज़-ए-इश्क़ के क़ाबिल नहीं रहा
जिस दिल पे नाज़ था मुझे वो दिल नहीं रहा

जाता हूँ दाग़-ए-हसरत-ए-हस्ती लिए हुए
हूँ शम-ए-कुश्ता दर-ख़ुर-ए-महफ़िल नहीं रहा

मरने की ऐ दिल और ही तदबीर कर कि मैं
शायान-ए-दस्त-ओ-बाज़ु-ए-क़ातिल नहीं रहा

बर-रू-ए-शश-जहत दर-ए-आईना बाज़ है
याँ इम्तियाज़-ए-नाक़िस-ओ-कामिल नहीं रहा

वा कर दिए हैं शौक़ ने बंद-ए-नक़ाब-ए-हुस्न
ग़ैर-अज़-निगाह अब कोई हाइल नहीं रहा

गो मैं रहा रहीन-ए-सितम-हा-ए-रोज़गार
लेकिन तिरे ख़याल से ग़ाफ़िल नहीं रहा

दिल से हवा-ए-किश्त-ए-वफ़ा मिट गई कि वाँ
हासिल सिवाए हसरत-ए-हासिल नहीं रहा

बेदाद-ए-इश्क़ से नहीं डरता मगर 'असद'
जिस दिल पे नाज़ था मुझे वो दिल नहीं रहा

हर-चंद मैं हूँ तूती-ए-शीरीं-सुख़न वले
आईना आह मेरे मुक़ाबिल नहीं रहा

जाँ-दाद-गाँ का हौसला फ़ुर्सत-गुदाज़ है
याँ अर्सा-ए-तपीदन-ए-बिस्मिल नहीं रहा

हूँ क़तरा-ज़न ब-वादी-ए-हसरत शबाना रोज़
जुज़ तार-ए-अश्क जादा-ए-मंज़िल नहीं रहा

ऐ आह मेरी ख़ातिर-ए-वाबस्ता के सिवा
दुनिया में कोई उक़्दा-ए-मुश्किल नहीं रहा

अंदाज़-ए-नाला याद हैं सब मुझ को पर 'असद'
जिस दिल पे नाज़ था मुझे वो दिल नहीं रहा

  - Mirza Ghalib

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari