hum par jafaa se tark-e-wafa ka gumaan nahin | हम पर जफ़ा से तर्क-ए-वफ़ा का गुमाँ नहीं - Mirza Ghalib

hum par jafaa se tark-e-wafa ka gumaan nahin
ik chhed hai wagarana muraad imtihaan nahin

kis munh se shukr kijie is lutf-e-khaas ka
pursish hai aur paa-e-sukhan darmiyaan nahin

hum ko sitam aziz sitamgar ko hum aziz
na-mehrabaan nahin hai agar meherbaan nahin

bosa nahin na deejie dushnaam hi sahi
aakhir zabaan to rakhte ho tum gar dahaan nahin

har-chand jaan-gudaazi-e-qahr-o-itaab hai
har-chand pusht-e-garmi-e-taab-o-tawaan nahin

jaan mutarib-e-taraana-e-hal-mim-mazeed hai
lab pardaa-sanj-e-zamzama-e-al-amaan nahin

khanjar se cheer seena agar dil na ho do-neem
dil mein chhuri chubho mizaa gar khoon-chakaan nahin

hai nang-e-seena dil agar aatish-kada na ho
hai aar-e-dil nafs agar aazar-fishaan nahin

nuqsaan nahin junoon mein bala se ho ghar kharab
sau gaz zameen ke badle biyaabaan giran nahin

kahte ho kya likha hai tiri sarnavisht mein
goya jabeen pe sajda-e-but ka nishaan nahin

paata hoon us se daad kuch apne kalaam ki
roohul-qudus agarche mera ham-zabaan nahin

jaan hai baha-e-bosa wale kyun kahe abhi
ghalib ko jaanta hai ki vo neem-jaan nahin

jis ja ki paa-e-sail-e-bala darmiyaan nahin
deewangaan ko waan hawas-e-khaanmaan nahin

gul ghunchagi mein gharka-e-darya-e-rang hai
ai aagahi fareb-e-tamaasha kahaan nahin

kis jurm se hai chashm tujhe hasrat qubool
barg-e-hina magar miza-e-khoon-fishaan nahin

har rang-e-gardish aaina ijaad-e-dard hai
ashk-e-sahaab juz b-wida-e-khizaan nahin

juz izz kya karoon b-tamanna-e-be-khudi
taqat hareef-e-sakhti-e-khwab-e-giraan nahin

ibarat se pooch dard-e-pareshaani-e-nigaah
ye gard-e-wehm juz basar-e-imtihaan nahin

barq-e-bajaan-e-hausla aatish-fagan asad
ai dil-fasurda taqat-e-zabt-e-fighaan nahin

हम पर जफ़ा से तर्क-ए-वफ़ा का गुमाँ नहीं
इक छेड़ है वगरना मुराद इम्तिहाँ नहीं

किस मुँह से शुक्र कीजिए इस लुत्फ़-ए-ख़ास का
पुर्सिश है और पा-ए-सुख़न दरमियाँ नहीं

हम को सितम अज़ीज़ सितमगर को हम अज़ीज़
ना-मेहरबाँ नहीं है अगर मेहरबाँ नहीं

बोसा नहीं न दीजिए दुश्नाम ही सही
आख़िर ज़बाँ तो रखते हो तुम गर दहाँ नहीं

हर-चंद जाँ-गुदाज़ी-ए-क़हर-ओ-इताब है
हर-चंद पुश्त-ए-गर्मी-ए-ताब-ओ-तवाँ नहीं

जाँ मुतरिब-ए-तराना-ए-हल-मिम-मज़ीद है
लब पर्दा-संज-ए-ज़मज़मा-ए-अल-अमाँ नहीं

ख़ंजर से चीर सीना अगर दिल न हो दो-नीम
दिल में छुरी चुभो मिज़ा गर ख़ूँ-चकाँ नहीं

है नंग-ए-सीना दिल अगर आतिश-कदा न हो
है आर-ए-दिल नफ़स अगर आज़र-फ़िशाँ नहीं

नुक़साँ नहीं जुनूँ में बला से हो घर ख़राब
सौ गज़ ज़मीं के बदले बयाबाँ गिराँ नहीं

कहते हो क्या लिखा है तिरी सरनविश्त में
गोया जबीं पे सजदा-ए-बुत का निशाँ नहीं

पाता हूँ उस से दाद कुछ अपने कलाम की
रूहुल-क़ुदुस अगरचे मिरा हम-ज़बाँ नहीं

जाँ है बहा-ए-बोसा वले क्यूँ कहे अभी
'ग़ालिब' को जानता है कि वो नीम-जाँ नहीं

जिस जा कि पा-ए-सैल-ए-बला दरमियाँ नहीं
दीवानगाँ को वाँ हवस-ए-ख़ानमाँ नहीं

गुल ग़ुन्चग़ी में ग़र्क़ा-ए-दरिया-ए-रंग है
ऐ आगही फ़रेब-ए-तमाशा कहाँ नहीं

किस जुर्म से है चश्म तुझे हसरत क़ुबूल
बर्ग-ए-हिना मगर मिज़ा-ए-ख़ूँ-फ़िशाँ नहीं

हर रंग-ए-गर्दिश आइना ईजाद-ए-दर्द है
अश्क-ए-सहाब जुज़ ब-विदा-ए-ख़िज़ाँ नहीं

जुज़ इज्ज़ क्या करूँ ब-तमन्ना-ए-बे-ख़ुदी
ताक़त हरीफ़-ए-सख़्ती-ए-ख़्वाब-ए-गिराँ नहीं

इबरत से पूछ दर्द-ए-परेशानी-ए-निगाह
ये गर्द-ए-वहम जुज़ बसर-ए-इम्तिहाँ नहीं

बर्क़-ए-बजान-ए-हौसला आतिश-फ़गन 'असद'
ऐ दिल-फ़सुर्दा ताक़त-ए-ज़ब्त-ए-फ़ुग़ाँ नहीं

- Mirza Ghalib
0 Likes

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari