hujoom-e-naala hairat aaziz-e-arz yak-afghan hai | हुजूम-ए-नाला हैरत आजिज़-ए-अर्ज़ यक-अफ़्ग़ाँ है

  - Mirza Ghalib

hujoom-e-naala hairat aaziz-e-arz yak-afghan hai
khamoshi resha-e-sad-neestaan se khas-b-dandaan hai

takalluf-bar-tarf hai jaan-sitaan-tar lutf-e-bad-khooyaan
nigaah-e-be-hijaab-e-naaz tegh-e-tez-e-uryaan hai

hui ye kasrat-e-gham se talaf kaifiyat-e-shaadi
ki subh-e-eid mujh ko bad-tar az-chaak-e-garebaan hai

dil o deen naqd la saaqi se gar sauda kiya chahe
ki us bazaar mein saaghar maata-e-dast-gardaan hai

gham aaghosh-e-bala mein parvarish deta hai aashiq ko
charaagh-e-raushan apna qulzum-e-sarsar ka marjaan hai

takalluf saaz-e-ruswaai hai ghaafil sharm-e-raanaai
dil-e-khoon-gashta dar dast-e-hina-aalooda uryaan hai

asad jamiiyat-e-dil dar-kinaar-e-be-khudi khush-tar
do-aalam aagahi saamaan-e-yak-khwab-e-pareshaan hai

हुजूम-ए-नाला हैरत आजिज़-ए-अर्ज़ यक-अफ़्ग़ाँ है
ख़मोशी रेशा-ए-सद-नीस्ताँ से ख़स-ब-दंदाँ है

तकल्लुफ़-बर-तरफ़ है जाँ-सिताँ-तर लुत्फ़-ए-बद-ख़ूयाँ
निगाह-ए-बे-हिजाब-ए-नाज़ तेग़-ए-तेज़-ए-उर्यां है

हुई ये कसरत-ए-ग़म से तलफ़ कैफ़ियत-ए-शादी
कि सुब्ह-ए-ईद मुझ को बद-तर अज़-चाक-ए-गरेबाँ है

दिल ओ दीं नक़्द ला साक़ी से गर सौदा किया चाहे
कि उस बाज़ार में साग़र माता-ए-दस्त-गर्दां है

ग़म आग़ोश-ए-बला में परवरिश देता है आशिक़ को
चराग़-ए-रौशन अपना क़ुल्ज़ुम-ए-सरसर का मर्जां है

तकल्लुफ़ साज़-ए-रुस्वाई है ग़ाफ़िल शर्म-ए-रानाई
दिल-ए-ख़ूँ-गश्ता दर दस्त-ए-हिना-आलूदा उर्यां है

'असद' जमइयत-ए-दिल दर-किनार-ए-बे-ख़ुदी ख़ुश-तर
दो-आलम आगही सामान-ए-यक-ख़्वाब-ए-परेशाँ है

  - Mirza Ghalib

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari