waarasta us se hain ki mohabbat hi kyun na ho | वारस्ता उस से हैं कि मोहब्बत ही क्यूँ न हो

  - Mirza Ghalib

waarasta us se hain ki mohabbat hi kyun na ho
kijeye hamaare saath adavat hi kyun na ho

chhodaa na mujh mein zof ne rang ikhtilaat ka
hai dil pe baar naqsh-e-mohabbat hi kyun na ho

hai mujh ko tujh se tazkira-e-ghair ka gila
har-chand bar-sabeel-e-shikaayat hi kyun na ho

paida hui hai kahte hain har dard ki dava
yun ho to chaara-e-gham-e-ulfat hi kyun na ho

daala na be-kasi ne kisi se mua'amla
apne se kheenchta hoon khaalat hi kyun na ho

hai aadmi bajaae khud ik mahshar-e-khayaal
ham anjuman samjhte hain khilwat hi kyun na ho

hangaama-e-zabooni-e-himmat hai infiyaal
haasil na kijeye dehr se ibarat hi kyun na ho

waarastagi bahaana-e-begaanagi nahin
apne se kar na gair se vehshat hi kyun na ho

mitaa hai faut-e-fursat-e-hasti ka gham koi
umr-e-azeez sarf-e-ibaadat hi kyun na ho

us fitna-khoo ke dar se ab uthte nahin asad
us mein hamaare sar pe qayamat hi kyun na ho

वारस्ता उस से हैं कि मोहब्बत ही क्यूँ न हो
कीजे हमारे साथ अदावत ही क्यूँ न हो

छोड़ा न मुझ में ज़ोफ़ ने रंग इख़्तिलात का
है दिल पे बार नक़्श-ए-मोहब्बत ही क्यूँ न हो

है मुझ को तुझ से तज़्किरा-ए-ग़ैर का गिला
हर-चंद बर-सबील-ए-शिकायत ही क्यूँ न हो

पैदा हुई है कहते हैं हर दर्द की दवा
यूँ हो तो चारा-ए-ग़म-ए-उल्फ़त ही क्यूँ न हो

डाला न बे-कसी ने किसी से मुआ'मला
अपने से खींचता हूँ ख़जालत ही क्यूँ न हो

है आदमी बजाए ख़ुद इक महशर-ए-ख़याल
हम अंजुमन समझते हैं ख़ल्वत ही क्यूँ न हो

हंगामा-ए-ज़बूनी-ए-हिम्मत है इंफ़िआल
हासिल न कीजे दहर से इबरत ही क्यूँ न हो

वारस्तगी बहाना-ए-बेगानगी नहीं
अपने से कर न ग़ैर से वहशत ही क्यूँ न हो

मिटता है फ़ौत-ए-फ़ुर्सत-ए-हस्ती का ग़म कोई
उम्र-ए-अज़ीज़ सर्फ़-ए-इबादत ही क्यूँ न हो

उस फ़ित्ना-ख़ू के दर से अब उठते नहीं 'असद'
उस में हमारे सर पे क़यामत ही क्यूँ न हो

  - Mirza Ghalib

Rang Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Rang Shayari Shayari