kahi pe rukte hue aur kahi guzarte hue
khajil to khoob hue nazireen guzarte hue
main ik nigaah ki doori pe eistaada tha
guzarne waale ne dekha nahin guzarte hue
tiri hawaaein ki jaana tha aur samt unhen
mere nawaah mein ruk si gaeein guzarte hue
main sab se pehle jise bhoolne mein jaldi ki
vo yaad aaya dam-e-aakhireen guzarte hue
guzar na jaaye basharat ki saa'at-e-awwal
zara si der ruken zaayeereen guzarte hue
कहीं पे रुकते हुए और कहीं गुज़रते हुए
ख़जिल तो ख़ूब हुए नाज़िरीं गुज़रते हुए
मैं इक निगाह की दूरी पे ईस्तादा था
गुज़रने वाले ने देखा नहीं गुज़रते हुए
तिरी हवाएँ कि जाना था और सम्त उन्हें
मिरे नवाह में रुक सी गईं गुज़रते हुए
मैं सब से पहले जिसे भूलने में जल्दी की
वो याद आया दम-ए-आख़रीं गुज़रते हुए
गुज़र न जाए बशारत की साअ'त-ए-अव्वल
ज़रा सी देर रुकें ज़ाएरीं गुज़रते हुए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naeem Gilani
our suggestion based on Naeem Gilani
As you were reading Aankhein Shayari Shayari