main kis se poochta ki bhala kya kami hui | मैं किस से पूछता कि भला क्या कमी हुई

  - Naeem Gilani

main kis se poochta ki bhala kya kami hui
tha shor jis gali mein wahan khaamoshi hui

ik main hi to nahin hoon pareshaan-o-pur-malaal
ai shaam tere saath bhi ab ke badi hui

mahfooz kar na paayenge deewaar-o-baam-o-dar
meri fugaan hui ki vo teri hasi hui

deewaar-e-jaan gira ke hi niklegi yaad-e-yaar
ek mekh jaise dil ke hai andar gadhi hui

khulti hi ja rahi hai giraanbaari-e-junoon
zanjeer kya hai paanv se mere bandhi hui

ab dekhiye to kya ye wahi chashm hai naim
zambil thi ki khwaabon se koi bhari hui

मैं किस से पूछता कि भला क्या कमी हुई
था शोर जिस गली में वहाँ ख़ामुशी हुई

इक मैं ही तो नहीं हूँ परेशान-ओ-पुर-मलाल
ऐ शाम तेरे साथ भी अब के बड़ी हुई

महफ़ूज़ कर न पाएँगे दीवार-ओ-बाम-ओ-दर
मेरी फ़ुग़ाँ हुई कि वो तेरी हँसी हुई

दीवार-ए-जाँ गिरा के ही निकलेगी याद-ए-यार
एक मेख़ जैसे दिल के है अंदर गढ़ी हुई

खुलती ही जा रही है गिराँबारी-ए-जुनूँ
ज़ंजीर क्या है पाँव से मेरे बंधी हुई

अब देखिए तो क्या ये वही चश्म है 'नईम'
ज़म्बील थी कि ख़्वाबों से कोई भरी हुई

  - Naeem Gilani

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naeem Gilani

As you were reading Shayari by Naeem Gilani

Similar Writers

our suggestion based on Naeem Gilani

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari