ek to ishq ki taqseer kiye jaata hoon
us pe main pairavi-e-'meer kiye jaata hoon
ma'zarat ghar ke charaagon se karunga kaise
main jo taakheer pe taakheer kiye jaata hoon
ya'ni tasveer-e-zamaan par hai tasarruf itna
dekhta jaata hoon tahreer kiye jaata hoon
baagbaan tujh se to main daad-talab hoon bhi nahin
ped sunte hain main taqreer kiye jaata hoon
ye ilaqa na ho dariya ki amal-daari mein
main jahaan naav ko zanjeer kiye jaata hoon
aakhirsh khaak uda kar sar-e-raahe dil ki
ek duniya ko main dil-geer kiye jaata hoon
us ki buniyaad mein ik khaam-e-khyaali hai naim
shehar jo khwaab mein ta'aamir kiye jaata hoon
एक तो इश्क़ की तक़्सीर किए जाता हूँ
उस पे मैं पैरवी-ए-'मीर' किए जाता हूँ
मा'ज़रत घर के चराग़ों से करूँगा कैसे
मैं जो ताख़ीर पे ताख़ीर किए जाता हूँ
या'नी तस्वीर-ए-ज़माँ पर है तसर्रुफ़ इतना
देखता जाता हूँ तहरीर किए जाता हूँ
बाग़बाँ तुझ से तो मैं दाद-तलब हूँ भी नहीं
पेड़ सुनते हैं मैं तक़रीर किए जाता हूँ
ये इलाक़ा न हो दरिया की अमल-दारी में
मैं जहाँ नाव को ज़ंजीर किए जाता हूँ
आख़िरश ख़ाक उड़ा कर सर-ए-राहे दिल की
एक दुनिया को मैं दिल-गीर किए जाता हूँ
उस की बुनियाद में इक ख़ाम-ए-ख़याली है 'नईम'
शहर जो ख़्वाब में ता'मीर किए जाता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naeem Gilani
our suggestion based on Naeem Gilani
As you were reading I love you Shayari Shayari