had se badhti hui ta'zeer mein dekha jaaye
khwaab ko khwaab ki ta'beer mein dekha jaaye
dekhne ko main faqat itna bacha hoon ya'ni
mujh ko ik manzar-e-tasveer mein dekha jaaye
khul bhi saka hai jahaan par mera andaaz-e-junoon
zakham jo halka-e-zanjeer mein dekha jaaye
sabr bhi jis ke nishaane pe hai aur seena bhi
hausla kitna hai us teer mein dekha jaaye
is qadar deeda-e-giriyaan ka to haq banta hai
ab use naalaa-e-shab-geer mein dekha jaaye
tab kahi dard utarta hai rag-o-pai mein naim
she'r jab meer ki taaseer mein dekha jaaye
हद से बढ़ती हुई ता'ज़ीर में देखा जाए
ख़्वाब को ख़्वाब की ता'बीर में देखा जाए
देखने को मैं फ़क़त इतना बचा हूँ या'नी
मुझ को इक मंज़र-ए-तस्वीर में देखा जाए
खुल भी सकता है जहाँ पर मिरा अंदाज़-ए-जुनूँ
ज़ख़्म जो हल्क़ा-ए-ज़ंजीर में देखा जाए
सब्र भी जिस के निशाने पे है और सीना भी
हौसला कितना है उस तीर में देखा जाए
इस क़दर दीदा-ए-गिर्यां का तो हक़ बनता है
अब उसे नाला-ए-शब-गीर में देखा जाए
तब कहीं दर्द उतरता है रग-ओ-पै में 'नईम'
शे'र जब 'मीर' की तासीर में देखा जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naeem Gilani
our suggestion based on Naeem Gilani
As you were reading Sabr Shayari Shayari