yun sang-e-intizaar se kab tak bandhe rahein
deewar-e-na-rasaai hi kyun dekhte rahein
guzre na koi zood-faramosh umr-bhar
aur be-sabab gali ke dariche khule rahein
tum se gila-guzaar hai apni ye be-ghari
kab tak tumhaare khwaab se baahar pade rahein
haalat wahin hai aaj bhi ham sang-o-khisht ki
rakh de koi jahaan pe wahin par dhare rahein
yoonhi khade rahein kisi manzil ki aas mein
gard-e-malaal-e-hijr se raaste atte rahein
pooche mere maseeha-nafs se koi naim
taq-e-badan mein zakham kahaan tak jale rahein
यूँ संग-ए-इंतिज़ार से कब तक बंधे रहें
दीवार-ए-ना-रसाई ही क्यूँ देखते रहें
गुज़रे न कोई ज़ूद-फ़रामोश उम्र-भर
और बे-सबब गली के दरीचे खुले रहें
तुम से गिला-गुज़ार है अपनी ये बे-घरी
कब तक तुम्हारे ख़्वाब से बाहर पड़े रहें
हालत वही है आज भी हम संग-ओ-ख़िश्त की
रख दे कोई जहाँ पे वहीं पर धरे रहें
यूँही खड़े रहें किसी मंज़िल की आस में
गर्द-ए-मलाल-ए-हिज्र से रस्ते अटे रहें
पूछे मिरे मसीहा-नफ़स से कोई 'नईम'
ताक़-ए-बदन में ज़ख़्म कहाँ तक जले रहें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naeem Gilani
our suggestion based on Naeem Gilani
As you were reading Fantasy Shayari Shayari