yun bhi jab tak gham se mar nahin jaata main | यूँ भी जब तक ग़म से मर नहीं जाता मैं

  - Naeem Gilani

yun bhi jab tak gham se mar nahin jaata main
raat gaye tak laut ke ghar nahin jaata main

dekhta rehta hoon tujh ko us lamhe tak
jab tak saara dard se bhar nahin jaata main

utni der sametoon saare dukh tere
jitni der ai dost bikhar nahin jaata main

tere gham ka bojh uthaaunga jab tak
koh-e-gham se paar utar nahin jaata main

maut se aage tak ke manzar dekhe hain
tanhaai se yoonhi dar nahin jaata main

naim us se main apne saare dukh kehne
sochta to rehta hoon par nahin jaata main

यूँ भी जब तक ग़म से मर नहीं जाता मैं
रात गए तक लौट के घर नहीं जाता मैं

देखता रहता हूँ तुझ को उस लम्हे तक!
जब तक सारा दर्द से भर नहीं जाता मैं

उतनी देर समेटूँ सारे दुख तेरे
जितनी देर ऐ दोस्त बिखर नहीं जाता मैं

तेरे ग़म का बोझ उठाऊँगा जब तक
कोह-ए-ग़म से पार उतर नहीं जाता मैं

मौत से आगे तक के मंज़र देखे हैं
तन्हाई से यूँही डर नहीं जाता मैं

'नईम' उस से मैं अपने सारे दुख कहने
सोचता तो रहता हूँ पर नहीं जाता मैं

  - Naeem Gilani

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naeem Gilani

As you were reading Shayari by Naeem Gilani

Similar Writers

our suggestion based on Naeem Gilani

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari