misaal-e-mauja-e-khushboo bikhar gaye mere din
guzar gaeein meri raatein guzar gaye mere din
dua-e-neem-shabi be-asar gai meri
tumhaare hote hue be-samar gaye mere din
jawaab arz-o-sama se na ban pada koi
main un se pooch raha tha kidhar gaye mere din
bas ek baar mohabbat se dil hua khaali
phir us ke ba'ad udaasi se bhar gaye mere din
main mubtala-e-gham-e-raftagaan hua aisa
mujhe khabar na hue aur mar gaye mere din
yahi malaal mujhe subh-o-shaam laahaq hai
mere sabaat se kaise mukar gaye mere din
vafur-e-hijr hadon se guzar gaya tha naim
mujhi pe dekhiye ilzaam dhar gaye mere din
मिसाल-ए-मौजा-ए-ख़ुशबू बिखर गए मिरे दिन
गुज़र गईं मिरी रातें गुज़र गए मिरे दिन
दुआ-ए-नीम-शबी बे-असर गई मेरी
तुम्हारे होते हुए बे-समर गए मिरे दिन
जवाब अर्ज़-ओ-समा से न बन पड़ा कोई
मैं उन से पूछ रहा था किधर गए मिरे दिन
बस एक बार मोहब्बत से दिल हुआ ख़ाली
फिर उस के बा'द उदासी से भर गए मिरे दिन
मैं मुब्तला-ए-ग़म-ए-रफ़्तगाँ हुआ ऐसा
मुझे ख़बर न हुए और मर गए मिरे दिन
यही मलाल मुझे सुब्ह-ओ-शाम लाहक़ है
मिरे सबात से कैसे मुकर गए मिरे दिन
वफ़ूर-ए-हिज्र हदों से गुज़र गया था 'नईम'
मुझी पे देखिए इल्ज़ाम धर गए मिरे दिन
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naeem Gilani
our suggestion based on Naeem Gilani
As you were reading Wahshat Shayari Shayari