tulu-e-subh-e-safar ki ghadi thi yaad aaya | तुलू-ए-सुब्ह-ए-सफ़र की घड़ी थी याद आया

  - Naeem Gilani

tulu-e-subh-e-safar ki ghadi thi yaad aaya
judaai raasta roke khadi thi yaad aaya

kisi ki khanda-labi se bhi khul nahin paai
girah to ab ke dilon mein padi thi yaad aaya

ye dil ke zakham usi jang mein ata hue hain
jo tere naam pe khud se ladi thi yaad aaya

jo mera waqt mere haath aa nahin raha tha
meri kalaaee pe teri ghadi thi yaad aaya

gale mile the bichhadte samay jab aakhiri baar
vo shaam dono pe kitni kaddi thi yaad aaya

ragein badan ki yoonhi to nahin khinchi hui theen
koi saleeb si dil mein gadi thi yaad aaya

hui hai sarf na jaane kahaan kahaan ai naim
duroon-e-chashm nami to badi thi yaad aaya

तुलू-ए-सुब्ह-ए-सफ़र की घड़ी थी याद आया
जुदाई रास्ता रोके खड़ी थी याद आया

किसी की ख़ंदा-लबी से भी खुल नहीं पाई
गिरह तो अब के दिलों में पड़ी थी याद आया

ये दिल के ज़ख़्म उसी जंग में अता हुए हैं
जो तेरे नाम पे ख़ुद से लड़ी थी याद आया

जो मेरा वक़्त मिरे हाथ आ नहीं रहा था
मिरी कलाई पे तेरी घड़ी थी याद आया

गले मिले थे बिछड़ते समय जब आख़िरी बार
वो शाम दोनों पे कितनी कड़ी थी याद आया

रगें बदन की यूँही तो नहीं खिंची हुई थीं
कोई सलीब सी दिल में गड़ी थी याद आया

हुई है सर्फ़ न जाने कहाँ कहाँ ऐ 'नईम'
दुरून-ए-चश्म नमी तो बड़ी थी याद आया

  - Naeem Gilani

Fasad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naeem Gilani

As you were reading Shayari by Naeem Gilani

Similar Writers

our suggestion based on Naeem Gilani

Similar Moods

As you were reading Fasad Shayari Shayari