nasheb-e-hijr mein din ikhtitaam karte hue | नशेब-ए-हिज्र में दिन इख़्तिताम करते हुए

  - Naeem Gilani

nasheb-e-hijr mein din ikhtitaam karte hue
main khud mein doobta jaata tha shaam karte hue

har ek lehar hai apne isee bahao mein
main thak gaya tire dariya ko raam karte hue

baras pada jo kisi roz mujh pe aks mera
daroon-e-aaina-e-khaana qayaam karte hue

mere sukoot ko dohraane waale ye dar-o-baam
sunaai dene lage hain kalaam karte hue

tamaam-umr tiri raahguzaar pe baith raha
mera ghubaar tira ehtiraam karte hue

ye khaamoshi hai to rukiye bagaur sunte hue
sukhanvari hai to chaliye tamaam karte hue

gurez-paai ki had se guzar gaya tha vo shakhs
naim door se mujh ko salaam karte hue

नशेब-ए-हिज्र में दिन इख़्तिताम करते हुए
मैं ख़ुद में डूबता जाता था शाम करते हुए

हर एक लहर है अपने इसी बहाओ में
मैं थक गया तिरे दरिया को राम करते हुए

बरस पड़ा जो किसी रोज़ मुझ पे अक्स मिरा
दरून-ए-आइना-ए-ख़ाना क़याम करते हुए

मिरे सुकूत को दोहराने वाले ये दर-ओ-बाम
सुनाई देने लगे हैं कलाम करते हुए

तमाम-उम्र तिरी रहगुज़र पे बैठ रहा
मिरा ग़ुबार तिरा एहतिराम करते हुए

ये ख़ामुशी है तो रुकिए बग़ौर सुनते हुए
सुख़नवरी है तो चलिए तमाम करते हुए

गुरेज़-पाई की हद से गुज़र गया था वो शख़्स
'नईम' दूर से मुझ को सलाम करते हुए

  - Naeem Gilani

Dariya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naeem Gilani

As you were reading Shayari by Naeem Gilani

Similar Writers

our suggestion based on Naeem Gilani

Similar Moods

As you were reading Dariya Shayari Shayari