jo khwaab mein hua tha waqai na ho
ki main pukaarta rahoon koi na ho
charaagh be-sabab to ro nahin rahe
jo shab guzar rahi hai aakhiri na ho
jise sukoot-e-marg ka nishaan kahein
ye khaamoshi kahi vo khaamoshi na ho
padi hui hai gard si jo waqt par
ye chashm-e-khwaab-zaad se giri na ho
mujhe ye hukm bhi suna diya gaya
ki naav mein mere siva koi na ho
yaqeen bhari-bahaar ka bhi kuchh nahin
agar ye shaakh-e-dard hi hari na ho
mera mo'amla naim aur hai
agar tiri nazar mein sarsari na ho
जो ख़्वाब में हुआ था वाक़ई न हो
कि मैं पुकारता रहूँ कोई न हो
चराग़ बे-सबब तो रो नहीं रहे
जो शब गुज़र रही है आख़िरी न हो
जिसे सुकूत-ए-मर्ग का निशाँ कहें
ये ख़ामुशी कहीं वो ख़ामुशी न हो
पड़ी हुई है गर्द सी जो वक़्त पर
ये चश्म-ए-ख़्वाब-ज़ाद से गिरी न हो
मुझे ये हुक्म भी सुना दिया गया
कि नाव में मिरे सिवा कोई न हो
यक़ीं भरी-बहार का भी कुछ नहीं
अगर ये शाख़-ए-दर्द ही हरी न हो
मिरा मोआ'मला 'नईम' और है
अगर तिरी नज़र में सरसरी न हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naeem Gilani
our suggestion based on Naeem Gilani
As you were reading Khamoshi Shayari Shayari