kaf-e-ghubaar mein malboos mera paikar tha
ye saanehaa to azal se mera muqaddar tha
har ek samt se mujh par hui thi baarish-e-sang
zahe-naseeb main apne makaan ke andar tha
sukoot-e-shab mein ye awaaz mujh ko di kis ne
vo raaste ka musaafir tha ya ki rahbar tha
usi ka aks raha aaine mein jalwa-fagan
vo apni zaat ka shaayad khud aaina-gar tha
tire jamaal se thi zindagi mein raanaai
mere vujood ka tu hi azal se mahvar tha
andheri raat mein saaya bhi saath de na saka
nasheb-e-raah mein khud hi main apna rahbar tha
meri nazar mein baresham tha silk pairaahan
guhar bhi mere liye raaste ka patthar tha
mere safar ki saba intiha yahi to nahin
qadam tha ret pe aur saamne samundar tha
कफ़-ए-ग़ुबार में मल्बूस मेरा पैकर था
ये सानेहा तो अज़ल से मिरा मुक़द्दर था
हर एक सम्त से मुझ पर हुई थी बारिश-ए-संग
ज़हे-नसीब मैं अपने मकाँ के अंदर था
सुकूत-ए-शब में ये आवाज़ मुझ को दी किस ने
वो रास्ते का मुसाफ़िर था या कि रहबर था
उसी का अक्स रहा आइने में जल्वा-फ़गन
वो अपनी ज़ात का शायद ख़ुद आइना-गर था
तिरे जमाल से थी ज़िंदगी में रानाई
मिरे वजूद का तू ही अज़ल से महवर था
अँधेरी रात में साया भी साथ दे न सका
नशेब-ए-राह में ख़ुद ही मैं अपना रहबर था
मिरी नज़र में बरेशम था सिल्क पैराहन
गुहर भी मेरे लिए रास्ते का पत्थर था
मिरे सफ़र की 'सबा' इंतिहा यही तो नहीं
क़दम था रेत पे और सामने समुंदर था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naeem Saba
our suggestion based on Naeem Saba
As you were reading Safar Shayari Shayari