rakht-e-safar ka main ne iraada nahin kiya | रख़्त-ए-सफ़र का मैं ने इरादा नहीं किया

  - Naeem Saba

rakht-e-safar ka main ne iraada nahin kiya
raushan charaagh-e-manjil-e-jaada nahin kiya

tujh se bichhad ke aur mera dil udaas ho
milne ka is liye abhi wa'da nahin kiya

shiddat se tha malaal shab-e-hijr ka magar
shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiya

dil mutmain hai ba'is-e-tajdeed-e-dosti
us ko khafa bhi had se ziyaada nahin kiya

sab kuchh ata hua tiri rahmat se is liye
dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiya

shaayad ki meri rooh ko baalidagi mile
khud ko raheen-e-saaghar-o-baada nahin kiya

shaayad meri jabeen ko mile izn-e-bandagi
dil ke warq ko is liye saada nahin kiya

mujh ko na tamkanat ka ho ehsaas-e-be-ziyaan
qamat ko apne aur sitaara nahin kiya

apni talash mein hoon saba is liye abhi
soo-e-haram safar ka iraada nahin kiya

रख़्त-ए-सफ़र का मैं ने इरादा नहीं किया
रौशन चराग़-ए-मंज़िल-ए-जादा नहीं किया

तुझ से बिछड़ के और मिरा दिल उदास हो
मिलने का इस लिए अभी वा'दा नहीं किया

शिद्दत से था मलाल शब-ए-हिज्र का मगर
शाने पे तेरे सर को निहादा नहीं किया

दिल मुतमइन है बाइ'स-ए-तज्दीद-ए-दोस्ती
उस को ख़फ़ा भी हद से ज़ियादा नहीं किया

सब कुछ अता हुआ तिरी रहमत से इस लिए
दस्त-ए-तलब को और कुशादा नहीं किया

शायद कि मेरी रूह को बालीदगी मिले
ख़ुद को रहीन-ए-साग़र-ओ-बादा नहीं किया

शायद मिरी जबीं को मिले इज़्न-ए-बंदगी
दिल के वर्क़ को इस लिए सादा नहीं किया

मुझ को न तमकनत का हो एहसास-ए-बे-ज़ियाँ
क़ामत को अपने और सितारा नहीं किया

अपनी तलाश में हूँ 'सबा' इस लिए अभी
सू-ए-हरम सफ़र का इरादा नहीं किया

  - Naeem Saba

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naeem Saba

As you were reading Shayari by Naeem Saba

Similar Writers

our suggestion based on Naeem Saba

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari