chashm-o-dil sahib-e-guftaar hue jaate hain | चश्म-ओ-दिल साहब-ए-गुफ़्तार हुए जाते हैं

  - Naeem Zarrar Ahmad

chashm-o-dil sahib-e-guftaar hue jaate hain
raaste aql ko dushwaar hue jaate hain

hijr-e-derina se ab khush the bahut main aur vo
ab magar faasle bezaar hue jaate hain

vo nigaahen hain mughanni ki thirkati poren
saaz soye hue bedaar hue jaate hain

sher-goi tira mansab to nahin tifl-e-sukhan
haan magar hijr mein do chaar hue jaate hain

nisbat-e-abjad-e-kirdaar na thi jin ko naim
sahib-e-azmat-e-kirdaar hue jaate hain

चश्म-ओ-दिल साहब-ए-गुफ़्तार हुए जाते हैं
रास्ते अक़्ल को दुश्वार हुए जाते हैं

हिज्र-ए-देरीना से अब ख़ुश थे बहुत मैं और वो
अब मगर फ़ासले बेज़ार हुए जाते हैं

वो निगाहें हैं मुग़न्नी की थिरकती पोरें
साज़ सोए हुए बेदार हुए जाते हैं

शेर-गोई तिरा मंसब तो नहीं तिफ़्ल-ए-सुख़न
हाँ मगर हिज्र में दो चार हुए जाते हैं

निस्बत-ए-अबजद-ए-किरदार न थी जिन को 'नईम'
साहब-ए-अज़्मत-ए-किरदार हुए जाते हैं

  - Naeem Zarrar Ahmad

Narazgi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naeem Zarrar Ahmad

As you were reading Shayari by Naeem Zarrar Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Naeem Zarrar Ahmad

Similar Moods

As you were reading Narazgi Shayari Shayari