ho gaye ham shikaar phoolon ke | हो गए हम शिकार फूलों के

  - Naeem Zarrar Ahmad

ho gaye ham shikaar phoolon ke
hain gazab ikhtiyaar phoolon ke

meri tanhaaiyaan bataati hain
phool hote hain yaar phoolon ke

ek manzil hai mukhtalif raahen
rang hain be-shumaar phoolon ke

aaj phoolon ke aalami din par
us ne bheje hain khaar phoolon ke

phool hain sher boo-e-gul dhun hai
ham hain naghma-nigaar phoolon ke

हो गए हम शिकार फूलों के
हैं ग़ज़ब इख़्तियार फूलों के

मेरी तन्हाइयाँ बताती हैं
फूल होते हैं यार फूलों के

एक मंज़िल है मुख़्तलिफ़ राहें
रंग हैं बे-शुमार फूलों के

आज फूलों के आलमी दिन पर
उस ने भेजे हैं ख़ार फूलों के

फूल हैं शेर बू-ए-गुल धुन है
हम हैं नग़्मा-निगार फूलों के

  - Naeem Zarrar Ahmad

Basant Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naeem Zarrar Ahmad

As you were reading Shayari by Naeem Zarrar Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Naeem Zarrar Ahmad

Similar Moods

As you were reading Basant Shayari Shayari