gair ke ghar sahi vo aaya to | ग़ैर के घर सही वो आया तो

  - Naeem Zarrar Ahmad

gair ke ghar sahi vo aaya to
gham hi mere liye vo laaya to

dushmanon ko muaaf kar daala
doston se fareb khaaya to

ped ke ghonslon ka kya hoga
ghar use kaat kar banaya to

phir mere saamne thi ik deewaar
ek deewaar ko giraaya to

kis qadar zor se hui baarish
main ne kaaghaz ka ghar banaya to

kya karoge naim saal-e-nau
pesh-rau ki tarah hi aaya to

ग़ैर के घर सही वो आया तो
ग़म ही मेरे लिए वो लाया तो

दुश्मनों को मुआफ़ कर डाला
दोस्तों से फ़रेब खाया तो

पेड़ के घोंसलों का क्या होगा
घर उसे काट कर बनाया तो

फिर मिरे सामने थी इक दीवार
एक दीवार को गिराया तो

किस क़दर ज़ोर से हुई बारिश
मैं ने काग़ज़ का घर बनाया तो

क्या करोगे 'नईम' साल-ए-नौ
पेश-रौ की तरह ही आया तो

  - Naeem Zarrar Ahmad

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naeem Zarrar Ahmad

As you were reading Shayari by Naeem Zarrar Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Naeem Zarrar Ahmad

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari