mujhe rifa'aton ka khumaar tha so nahin raha | मुझे रिफ़अ'तों का ख़ुमार था सो नहीं रहा

  - Naeem Zarrar Ahmad

mujhe rifa'aton ka khumaar tha so nahin raha
tire doston mein shumaar tha so nahin raha

jise ab samjhte ho baar deeda-o-jaan pe
kabhi raah-e-manjil-e-yaar tha so nahin raha

tiri yaad bhi teri yaad thi so chali gai
tira gham hi mera qaraar tha so nahin raha

rah-e-dosti ke musafiro zara dekh kar
isee rah ka main bhi sawaar tha so nahin raha

vo jo poochte hain naim ka use kya hua
unhen kah do un pe nisaar tha so nahin raha

मुझे रिफ़अ'तों का ख़ुमार था सो नहीं रहा
तिरे दोस्तों में शुमार था सो नहीं रहा

जिसे अब समझते हो बार दीदा-ओ-जान पे
कभी राह-ए-मंज़िल-ए-यार था सो नहीं रहा

तिरी याद भी तेरी याद थी सो चली गई
तिरा ग़म ही मेरा क़रार था सो नहीं रहा

रह-ए-दोस्ती के मुसाफ़िरो ज़रा देख कर
इसी रह का मैं भी सवार था सो नहीं रहा

वो जो पूछते हैं 'नईम' का उसे क्या हुआ
उन्हें कह दो उन पे निसार था सो नहीं रहा

  - Naeem Zarrar Ahmad

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naeem Zarrar Ahmad

As you were reading Shayari by Naeem Zarrar Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Naeem Zarrar Ahmad

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari