log ladte rahe naam aaye talab-gaaron mein | लोग लड़ते रहे नाम आए तलब-गारों में

  - Naeem Zarrar Ahmad

log ladte rahe naam aaye talab-gaaron mein
ham ki chup-chaap khade the tire beemaaron mein

zulm ke ham hain mukhalif magar ik din ke liye
shor har roz naya uthata hai akhbaaron mein

aaj-kal shikwa-e-naapid hai jis ghairat ka
khoob bikti hai mere shehar ke bazaaron mein

fakhr kya kam hai ki neelaami-e-yoosuf mein naim
tahee-daamaan the magar the to khareedaron mein

लोग लड़ते रहे नाम आए तलब-गारों में
हम कि चुप-चाप खड़े थे तिरे बीमारों में

ज़ुल्म के हम हैं मुख़ालिफ़ मगर इक दिन के लिए
शोर हर रोज़ नया उठता है अख़बारों में

आज-कल शिकवा-ए-नापैद है जिस ग़ैरत का
ख़ूब बिकती है मिरे शहर के बाज़ारों में

फ़ख़्र क्या कम है कि नीलामी-ए-यूसुफ़ में 'नईम'
तही-दामाँ थे मगर थे तो ख़रीदारों में

  - Naeem Zarrar Ahmad

Child labour Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naeem Zarrar Ahmad

As you were reading Shayari by Naeem Zarrar Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Naeem Zarrar Ahmad

Similar Moods

As you were reading Child labour Shayari Shayari