saamne apne tu bula ke to dekh | सामने अपने तू बुला के तो देख

  - Naeem Zarrar Ahmad

saamne apne tu bula ke to dekh
hausla mera aazma ke to dekh

mah-e-kaamil bhi maand pad jaaye
apna chehra use dikha ke to dekh

aaj qaus-e-quzah ka lutf kahaan
apne aariz pe rang haya ke to dekh

main tiri aakhiri zaroorat hoon
tu kabhi mujh se door ja ke to dekh

jaan-b-lab hoon qaraar aa jaaye
apni palkein zara utha ke to dekh

hain duaon se mo'jize mumkin
tu khuda ko kabhi manaa ke to dekh

सामने अपने तू बुला के तो देख
हौसला मेरा आज़मा के तो देख

मह-ए-कामिल भी मांद पड़ जाए
अपना चेहरा उसे दिखा के तो देख

आज क़ौस-ए-क़ुज़ह का लुत्फ़ कहाँ
अपने आरिज़ पे रंग हया के तो देख

मैं तिरी आख़िरी ज़रूरत हूँ
तू कभी मुझ से दूर जा के तो देख

जाँ-ब-लब हूँ क़रार आ जाए
अपनी पलकें ज़रा उठा के तो देख

हैं दुआओं से मो'जिज़े मुमकिन
तू ख़ुदा को कभी मना के तो देख

  - Naeem Zarrar Ahmad

Naqab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naeem Zarrar Ahmad

As you were reading Shayari by Naeem Zarrar Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Naeem Zarrar Ahmad

Similar Moods

As you were reading Naqab Shayari Shayari