azal se bas yahi aalam hai kya kiya jaaye
kabhi khushi hai kabhi gham hai kya kiya jaaye
adab se jhuk ke ye kehta hai aasmaan goya
zameen ke saamne sar kham hai kya kiya jaaye
hayaat-o-maut ki waadi ka fasla yaaro
har ek saans pe kuchh kam hai kya kiya jaaye
qareeb aa ke vo ma'soomiyat se kahte hain
mareez-e-ishq lab-e-dam hai kya kiya jaaye
nashaat-o-aish ke lamhe tumhein mubarak hon
mujhe aziz shab-e-gham hai kya kiya jaaye
main apne dhang se jeene ka kyun hua aadi
zamaana is liye barham hai kya kiya jaaye
takhayyulaat ki in sard vaadiyon mein sehar
rida-e-fikr-o-nazar kam hai kya kiya jaaye
अज़ल से बस यही आलम है क्या किया जाए
कभी ख़ुशी है कभी ग़म है क्या किया जाए
अदब से झुक के ये कहता है आसमाँ गोया
ज़मीं के सामने सर ख़म है क्या किया जाए
हयात-ओ-मौत की वादी का फ़ासला यारो
हर एक साँस पे कुछ कम है क्या किया जाए
क़रीब आ के वो मा'सूमियत से कहते हैं
मरीज़-ए-इश्क़ लब-ए-दम है क्या किया जाए
नशात-ओ-ऐश के लम्हे तुम्हें मुबारक हों
मुझे अज़ीज़ शब-ए-ग़म है क्या किया जाए
मैं अपने ढंग से जीने का क्यों हुआ आदी
ज़माना इस लिए बरहम है क्या किया जाए
तख़य्युलात की इन सर्द वादियों में 'सहर'
रिदा-ए-फ़िक्र-ओ-नज़र कम है क्या किया जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nafees Ahmad Sahar
our suggestion based on Nafees Ahmad Sahar
As you were reading Haya Shayari Shayari