ek hi mazmoon ke kitne hain baab
khoon aansu cheekh vehshat iztiraab
is tarah chehre pe hai un ke naqaab
gahan mein ho jis tarah se aftaab
vo to kahiye tha muqaddar ka dhani
warna us ka vaar to tha kaamyaab
khoon-e-naahq ka sitam-iijaad se
waqt ik ik boond ka lega hisaab
sar chhupaane ko sahaara dhoondiye
bastiyaan aane ko phir hain zer-e-aab
zahn ki gahraaiyon mein jhaank kar
dekhiye aata hai kaise inqilaab
husn ke darbaar mein dekho sehar
aaina karta hai kis ko intikhaab
एक ही मज़मून के कितने हैं बाब
ख़ून आँसू चीख़ वहशत इज़्तिराब
इस तरह चेहरे पे है उन के नक़ाब
गहन में हो जिस तरह से आफ़्ताब
वो तो कहिए था मुक़द्दर का धनी
वर्ना उस का वार तो था कामयाब
ख़ून-ए-नाहक़ का सितम-ईजाद से
वक़्त इक इक बूँद का लेगा हिसाब
सर छुपाने को सहारा ढूँडिए
बस्तियाँ आने को फिर हैं ज़ेर-ए-आब
ज़ह्न की गहराइयों में झाँक कर
देखिए आता है कैसे इंक़लाब
हुस्न के दरबार में देखो 'सहर'
आइना करता है किस को इंतिख़ाब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nafees Ahmad Sahar
our suggestion based on Nafees Ahmad Sahar
As you were reading Taareef Shayari Shayari