na gul khile hain na gardish mein jaam aaya hai | न गुल खिले हैं न गर्दिश में जाम आया है

  - Nafees Ahmad Sahar

na gul khile hain na gardish mein jaam aaya hai
ye kaisa ab ke chaman mein nizaam aaya hai

amal se zarf se eesaar se mohabbat se
hamaara dil hi zamaane ke kaam aaya hai

ata hua hai jinhen azm sarfaroshi ka
unhin ko daar-o-rasan ka salaam aaya hai

libaas-e-sharm-o-haya nazr-e-maslahat kar ke
ye kaun dekhna bala-e-baam aaya hai

ham apne dard ko bhi dard kah nahin sakte
koi bataaye ye kaisa maqaam aaya hai

tilism toot gaya hai sehar judaai ka
nigah-e-mast ka jab bhi payaam aaya hai

न गुल खिले हैं न गर्दिश में जाम आया है
ये कैसा अब के चमन में निज़ाम आया है

अमल से ज़र्फ़ से ईसार से मोहब्बत से
हमारा दिल ही ज़माने के काम आया है

अता हुआ है जिन्हें अज़्म सरफ़रोशी का
उन्हीं को दार-ओ-रसन का सलाम आया है

लिबास-ए-शर्म-ओ-हया नज़्र-ए-मस्लहत कर के
ये कौन देखना बाला-ए-बाम आया है

हम अपने दर्द को भी दर्द कह नहीं सकते
कोई बताए ये कैसा मक़ाम आया है

तिलिस्म टूट गया है 'सहर' जुदाई का
निगाह-ए-मस्त का जब भी पयाम आया है

  - Nafees Ahmad Sahar

Judai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nafees Ahmad Sahar

As you were reading Shayari by Nafees Ahmad Sahar

Similar Writers

our suggestion based on Nafees Ahmad Sahar

Similar Moods

As you were reading Judai Shayari Shayari