tasveer jo na kaavish-e-idraak se bani | तस्वीर जो न काविश-ए-इदराक से बनी

  - Nafees Ahmad Sahar

tasveer jo na kaavish-e-idraak se bani
vo aaj apne deeda-e-namunaak se bani

duniya hamaare vaaste ik raahaton ka ghar
sach poochiye to jurat-e-be-baak se bani

ajzaa-e-kaayenaat juda kar ke dekhiye
har shay jahaan-e-fikr mein hai khaak se bani

be-pardagi jahaan bhi hui husn-e-yaar ki
chilman junoon ke daaman-e-sad-chaak se bani

zarraat ke vujood se saabit hua sehar
ye kaayenaat gardish-e-aflaak se bani

तस्वीर जो न काविश-ए-इदराक से बनी
वो आज अपने दीदा-ए-नमनाक से बनी

दुनिया हमारे वास्ते इक राहतों का घर
सच पूछिए तो जुरअत-ए-बे-बाक से बनी

अज्ज़ा-ए-काएनात जुदा कर के देखिए
हर शय जहान-ए-फ़िक्र में है ख़ाक से बनी

बे-पर्दगी जहाँ भी हुई हुस्न-ए-यार की
चिलमन जुनूँ के दामन-ए-सद-चाक से बनी

ज़र्रात के वजूद से साबित हुआ 'सहर'
ये काएनात गर्दिश-ए-अफ़्लाक से बनी

  - Nafees Ahmad Sahar

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nafees Ahmad Sahar

As you were reading Shayari by Nafees Ahmad Sahar

Similar Writers

our suggestion based on Nafees Ahmad Sahar

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari