muztarib aur hua zauq-e-nazar aakhir-e-shab
band ummeed ke sab ho gaye dar aakhir-e-shab
ai aseeraan-e-qafas mere alaava tum ko
koi dega na bahaaron ki khabar aakhir-e-shab
ham se hota bhi ilaaj-e-dil-e-betaab to kya
aur badhta hi gaya dard-e-jigar aakhir-e-shab
jo ghareebon ke hain hamdard unhen yaad nahin
kitne logon ke jalaae gaye ghar aakhir-e-shab
zindagi qaabil-e-taazeem bani duniya mein
un ke jalwon se jo takraai nazar aakhir-e-shab
fahm-o-idraak ke ajzaa-e-pareshaan ki qasam
rang laaya mere naalon ka asar aakhir-e-shab
is tarah bah chale aankhon se musalsal aansu
ho sehar jaise sitaaron ka safar aakhir-e-shab
मुज़्तरिब और हुआ ज़ौक़-ए-नज़र आख़िर-ए-शब
बंद उम्मीद के सब हो गए दर आख़िर-ए-शब
ऐ असीरान-ए-क़फ़स मेरे अलावा तुम को
कोई देगा न बहारों की ख़बर आख़िर-ए-शब
हम से होता भी इलाज-ए-दिल-ए-बेताब तो क्या
और बढ़ता ही गया दर्द-ए-जिगर आख़िर-ए-शब
जो ग़रीबों के हैं हमदर्द उन्हें याद नहीं
कितने लोगों के जलाए गए घर आख़िर-ए-शब
ज़िंदगी क़ाबिल-ए-ताज़ीम बनी दुनिया में
उन के जलवों से जो टकराई नज़र आख़िर-ए-शब
फ़हम-ओ-इदराक के अज्ज़ा-ए-परेशाँ की क़सम
रंग लाया मिरे नालों का असर आख़िर-ए-शब
इस तरह बह चले आँखों से मुसलसल आँसू
हो 'सहर' जैसे सितारों का सफ़र आख़िर-ए-शब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nafees Ahmad Sahar
our suggestion based on Nafees Ahmad Sahar
As you were reading Wahshat Shayari Shayari