tum mere khwaab-e-pareshaan ka asar dekho to
muzmahil saara gulistaan hai idhar dekho to
lab-o-aariz ki qasam jalwa-e-raqsan ki qasam
kis qadar shokh hai vo rashk-e-qamar dekho to
shiddat-e-tishna-labi mein dar-e-may-khaana par
rakh diya phir kisi majboor ne sar dekho to
talkhiyaan bhool ke jazbaat pe qaabu rakh kar
tum khuda ke liye ik baar idhar dekho to
kya sitam is se ziyaada koi ho saka hai
mausam-e-gul mein kate hain mere par dekho to
jis se gumraah zamaane ko ziya milti hai
ilm-o-irfaan-o-hidaayat ka vo dar dekho to
sab pareshaan hain yahan kaun kahe un se sehar
tum ghareebon ko kabhi ek nazar dekho to
तुम मिरे ख़्वाब-ए-परेशाँ का असर देखो तो
मुज़्महिल सारा गुलिस्ताँ है इधर देखो तो
लब-ओ-आरिज़ की क़सम जल्वा-ए-रक़्साँ की क़सम
किस क़दर शोख़ है वो रश्क-ए-क़मर देखो तो
शिद्दत-ए-तिश्ना-लबी में दर-ए-मय-ख़ाना पर
रख दिया फिर किसी मजबूर ने सर देखो तो
तल्ख़ियाँ भूल के जज़्बात पे क़ाबू रख कर
तुम ख़ुदा के लिए इक बार इधर देखो तो
क्या सितम इस से ज़ियादा कोई हो सकता है
मौसम-ए-गुल में कटे हैं मिरे पर देखो तो
जिस से गुमराह ज़माने को ज़िया मिलती है
इल्म-ओ-इरफ़ान-ओ-हिदायात का वो दर देखो तो
सब परेशाँ हैं यहाँ कौन कहे उन से 'सहर'
तुम ग़रीबों को कभी एक नज़र देखो तो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nafees Ahmad Sahar
our suggestion based on Nafees Ahmad Sahar
As you were reading Shama Shayari Shayari