jism apna hai jaan paraai hai
baat ab kuchh samajh mein aayi hai
sach ke kehne mein kya buraai hai
ham ne daanista maat khaai hai
qurbaton ka guzar gaya mausam
ab to qismat mein bas judaai hai
zindagi ashk-o-khoon ke taajir se
lazzat-e-gham khareed laai hai
baarha apne khoon se ham ne
shama'-e-fikr-o-nazar jalai hai
tishnagi bhook ashk dard-o-alam
meri din bhar ki bas kamaai hai
sahan-e-gulshan se phir naseem-e-'sehr
nikhat-e-gul chura ke laai hai
जिस्म अपना है जाँ पराई है
बात अब कुछ समझ में आई है
सच के कहने में क्या बुराई है
हम ने दानिस्ता मात खाई है
क़ुर्बतों का गुज़र गया मौसम
अब तो क़िस्मत में बस जुदाई है
ज़िंदगी अश्क-ओ-ख़ूँ के ताजिर से
लज़्ज़त-ए-ग़म ख़रीद लाई है
बारहा अपने ख़ून से हम ने
शम्अ'-ए-फ़िक्र-ओ-नज़र जलाई है
तिश्नगी भूक अश्क दर्द-ओ-अलम
मेरी दिन भर की बस कमाई है
सहन-ए-गुलशन से फिर नसीम-ए-‘सहर’
निकहत-ए-गुल चुरा के लाई है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nafees Ahmad Sahar
our suggestion based on Nafees Ahmad Sahar
As you were reading Zindagi Shayari Shayari