hasrat hai mera soz-e-daroon had se badha de
ya shauq-e-tamaasha ki tamannaa hi mita de
dil jo ye sulagta hai sada soz mein tere
ik qatra-e-naisaan kabhi is dil pe gira de
dil ab bhi shanaasa-e-haqeeqat nahin shaayad
ik baar vo zamzam ke suboo phir se pila de
dil soorat-e-aaina ho har nafs se khaali
phir toor ke jalwon se use raakh bana de
हसरत है मेरा सोज़-ए-दरूँ हद से बढ़ा दे
या शौक़-ए-तमाशा की तमन्ना ही मिटा दे
दिल जो ये सुलगता है सदा सोज़ में तेरे
इक क़तरा-ए-नैसाँ कभी इस दिल पे गिरा दे
दिल अब भी शनासा-ए-हक़ीक़त नहीं शायद
इक बार वो ज़मज़म के सुबू फिर से पिला दे
दिल सूरत-ए-आईना हो हर नफ़्स से ख़ाली
फिर तूर के जलवों से उसे राख बना दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naheed Kausar
our suggestion based on Naheed Kausar
As you were reading Greed Shayari Shayari