hawa ki halki si aahat pe yun machal jaana
umeed-e-wasl pe bismil ka phir sambhal jaana
na aa rahe the na aana tha aur na imkaan tha
ye zo'm-e-dil tha ya qismat ka yun badal jaana
ye dil pe bojh hai dardon ka ya tiri yaadein
ya aabloon ka hararat se hai pighal jaana
tiri talash mein uth uth ke paagalon ki tarah
shab-e-firaq mein ghar se kahi nikal jaana
ye jaante hain ki mumkin nahin tu laut aaye
shiaar-e-dil hai tiri yaad se bahl jaana
tiri umeed ka jab sar se uth gaya aanchal
to fasl-e-gul mein tha yaksar khizaan mein dhal jaana
abhi thi tere safeene ki muntazir kausar
ajab laga tire saahil se yun fisal jaana
हवा की हल्की सी आहट पे यूँ मचल जाना
उमीद-ए-वस्ल पे बिस्मिल का फिर सँभल जाना
न आ रहे थे न आना था और न इम्काँ था
ये ज़ोम-ए-दिल था या क़िस्मत का यूँ बदल जाना
ये दिल पे बोझ है दर्दों का या तिरी यादें
या आबलों का हरारत से है पिघल जाना
तिरी तलाश में उठ उठ के पागलों की तरह
शब-ए-फ़िराक़ में घर से कहीं निकल जाना
ये जानते हैं कि मुमकिन नहीं तू लौट आए
शिआर-ए-दिल है तिरी याद से बहल जाना
तिरी उमीद का जब सर से उठ गया आँचल
तो फ़स्ल-ए-गुल में था यकसर ख़िज़ाँ में ढल जाना
अभी थी तेरे सफ़ीने की मुंतज़िर 'कौसर'
अजब लगा तिरे साहिल से यूँ फिसल जाना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naheed Kausar
our suggestion based on Naheed Kausar
As you were reading Aahat Shayari Shayari