1 | 1

  - Nahid Qasmi

1
mujh se anjaan bane door bahut door sahi
saamne baitha nazar aata hai
mujh ko mehsoos ye hota hai meri umr ke saare lamhe
titliyan ban ke tiri samt ude jaate hain
aur tire chaar taraf
rang-dar-rang kai haale banaate hue lehraate hain
phool chun chun ke palat aate hain
mujhe mehkaate hain
2
mujh se anjaan bane
paas bahut paas se to jab guzre
mujh ko mehsoos ye hota hai meri umr ke saare lamhe
rooth kar mujh se bahut door kisi sehra mein
dhoop mein jalte hain
tapte hue zarroon se lipt jaate hain
aur chingaariyaan ban ban ke palat aate hain
mujhe jhulsaate hain

1
मुझ से अंजान बने दूर बहुत दूर सही
सामने बैठा नज़र आता है
मुझ को महसूस ये होता है मिरी उम्र के सारे लम्हे
तितलियाँ बन के तिरी सम्त उड़े जाते हैं
और तिरे चार तरफ़
रंग-दर-रंग कई हाले बनाते हुए लहराते हैं
फूल चुन चुन के पलट आते हैं
मुझे महकाते हैं
2
मुझ से अंजान बने
पास बहुत पास से तो जब गुज़रे
मुझ को महसूस ये होता है मिरी उम्र के सारे लम्हे
रूठ कर मुझ से बहुत दूर किसी सहरा में
धूप में जलते हैं
तपते हुए ज़र्रों से लिपट जाते हैं
और चिंगारियाँ बन बन के पलट आते हैं
मुझे झुलसाते हैं

  - Nahid Qasmi

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Nahid Qasmi

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari