har ik makaan mein jala phir diya diwali ka | "दीवाली" - Nazeer Akbarabadi

har ik makaan mein jala phir diya diwali ka

har ik makaan mein jala phir diya diwali ka
har ik taraf ko ujaala hua diwali ka
sabhi ke dil mein samaan bha gaya diwali ka
kisi ke dil ko maza khush laga diwali ka
ajab bahaar ka hai din bana diwali ka

jahaan mein yaaro ajab tarah ka hai ye tyaohar
kisi ne naqd liya aur koi kare hai udhaar
khilone khelon bataashon ka garm hai bazaar
har ik dukaaan mein charaagon ki ho rahi hai bahaar
sabhon ko fikr hai ab jaa-b-jaa diwali ka

mithaiyon ki dukanein laga ke halwaai
pukaarte hain ki la la diwali hai aayi
bataashe le koi barfi kisi ne tulwaai
khilone waalon ki in se ziyaada bin aayi
goya unhon ke waan raaj aa gaya diwali ka

sirf haraam ki kaudi ka jin ka hai bevepaar
unhon ne khaaya hai is din ke vaaste hai udhaar
kahe hai hans ke qarz-khwaah se har ik ik baar
diwali aayi hai sab de dilaayenge ai yaar
khuda ke fazl se hai aasraa diwali ka

makaan lep ke thaliya jo kori rakhwaai
jala charaagh ko kaudi vo jald jhankaai
asal juwaari the un mein to jaan si aayi
khushi se kood uchhal kar pukaare o bhaai
shugoon pehle karo tum zara diwali ka

shagun ki baazi lagi pehle yaar gande ki
phir us se badh ke lagi teen chaar gande ki
firee jo aisi tarah baar baar gande ki
to aage lagne lagi phir hazaar gande ki
kamaal nirakh hai phir to laga diwali ka

kisi ne ghar ki haveli giro rakha haari
jo kuch thi jins mayassar bana bana haari
kisi ne cheez kisi kisi ki chura chhupa haari
kisi ne gathri pardosan ki apni la haari
ye haar jeet ka charcha pada diwali ka

kisi ko daav pe laankki mooth ne maara
kisi ke ghar pe dhara sokhta ne angaara
kisi ko nard ne chaupad ke kar diya zaara
langoti baandh ke baitha izaar tak haara
ye shor aa ke macha jaa-b-jaa diwali ka

vo us ke jhonte pakad kar kahe hai maarunga
tira jo gehna hai sab taar taar utaarunga
haveli apni to ik daav par main haarunga
ye sab to haara hoon khundi tujhe bhi haarunga
chadha hai mujh ko bhi ab to nasha diwali ka

tujhe khabar nahin khundi ye lat vo pyaari hai
kisi zamaane mein aage hua jo jwaari hai
to us ne joroo ki nath aur izaar utaari hai
izaar kya hai ki joroo talak bhi haari hai
suna ye tu ne nahin maajra diwali ka

jahaan mein ye jo diwali ki sair hoti hai
to zar se hoti hai aur zar baghair hoti hai
jo haare un pe kharaabi ki faire hoti hai
aur un mein aan ke jin jin ki khair hoti hai
to aadhe aata hai un ke diya diwali ka

ye baatein sach hain na jhooth un ko jaanio yaaro
naseehaten hain unhen dil se maanio yaaro
jahaan ko jaao ye qissa bakhaanio yaaro
jo jwaari ho na bura us ka maanio yaaro
nazeer aap bhi hai jwaariya diwali ka

"दीवाली"

हर इक मकाँ में जला फिर दिया दिवाली का
हर इक तरफ़ को उजाला हुआ दिवाली का
सभी के दिल में समाँ भा गया दिवाली का
किसी के दिल को मज़ा ख़ुश लगा दीवाली का
अजब बहार का है दिन बना दिवाली का

जहाँ में यारो अजब तरह का है ये त्यौहार
किसी ने नक़्द लिया और कोई करे है उधार
खिलौने खेलों बताशों का गर्म है बाज़ार
हर इक दुकाँ में चराग़ों की हो रही है बहार
सभों को फ़िक्र है अब जा-ब-जा दिवाली का

मिठाइयों की दुकानें लगा के हलवाई
पुकारते हैं कि ''ला ला! दिवाली है आई''
बताशे ले कोई बर्फ़ी किसी ने तुलवाई
खिलौने वालों की इन से ज़ियादा बिन आई
गोया उन्हों के वाँ राज आ गया दिवाली का

सिरफ़ हराम की कौड़ी का जिन का है बेवपार
उन्हों ने खाया है इस दिन के वास्ते है उधार
कहे है हँस के क़रज़-ख़्वाह से हर इक इक बार
दिवाली आई है सब दे दिलाएँगे ऐ यार
ख़ुदा के फ़ज़्ल से है आसरा दिवाली का

मकान लेप के ठलिया जो कोरी रखवाई
जला चराग़ को कौड़ी वो जल्द झनकाई
असल जुआरी थे उन में तो जान सी आई
ख़ुशी से कूद उछल कर पुकारे ओ भाई
शुगून पहले करो तुम ज़रा दिवाली का

शगुन की बाज़ी लगी पहले यार गंडे की
फिर उस से बढ़ के लगी तीन चार गंडे की
फिरी जो ऐसी तरह बार बार गंडे की
तो आगे लगने लगी फिर हज़ार गंडे की
कमाल निर्ख़ है फिर तो लगा दिवाली का

किसी ने घर की हवेली गिरो रखा हारी
जो कुछ थी जिंस मयस्सर बना बना हारी
किसी ने चीज़ किसी किसी की चुरा छुपा हारी
किसी ने गठरी पड़ोसन की अपनी ला हारी
ये हार जीत का चर्चा पड़ा दिवाली का

किसी को दाव पे लानक्की मूठ ने मारा
किसी के घर पे धरा सोख़्ता ने अँगारा
किसी को नर्द ने चौपड़ के कर दिया ज़ारा
लंगोटी बाँध के बैठा इज़ार तक हारा
ये शोर आ के मचा जा-ब-जा दिवाली का

वो उस के झोंटे पकड़ कर कहे है मारुँगा
तिरा जो गहना है सब तार तार उतारूँगा
हवेली अपनी तो इक दाव पर मैं हारूँगा
ये सब तो हारा हूँ ख़ंदी तुझे भी हारूँगा
चढ़ा है मुझ को भी अब तो नशा दिवाली का

तुझे ख़बर नहीं ख़ंदी ये लत वो प्यारी है
किसी ज़माने में आगे हुआ जो ज्वारी है
तो उस ने जोरू की नथ और इज़ार उतारी है
इज़ार क्या है कि जोरू तलक भी हारी है
सुना ये तू ने नहीं माजरा दिवाली का

जहाँ में ये जो दीवाली की सैर होती है
तो ज़र से होती है और ज़र बग़ैर होती है
जो हारे उन पे ख़राबी की फ़ैर होती है
और उन में आन के जिन जिन की ख़ैर होती है
तो आड़े आता है उन के दिया दिवाली का

ये बातें सच हैं न झूट उन को जानियो यारो!
नसीहतें हैं उन्हें दिल से मानियो यारो!
जहाँ को जाओ ये क़िस्सा बखानियो यारो!
जो ज्वारी हो न बुरा उस का मानियो यारो
'नज़ीर' आप भी है ज्वारिया दीवाली का

- Nazeer Akbarabadi
2 Likes

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nazeer Akbarabadi

As you were reading Shayari by Nazeer Akbarabadi

Similar Writers

our suggestion based on Nazeer Akbarabadi

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari