maani lafzon ke peeri mein kuchh shabaab mein kuchh
aur us ke baare mein likkha nahin kitaab mein kuchh
pahunch ke dekha to maange ki raushni ke siva
falak ke taaron mein kuchh hai na mahtaab mein kuchh
har ek ghoont mein yaksaan nahin thi talkhi-e-may
ki ghol dete hain haalaat bhi sharaab mein kuchh
kai gunaahon ka indiraaj hi nahin milta
kisi se bhool hui hai mere hisaab mein kuchh
hai tera aks ki mere ghamon ka saaya hai
nazar to aata hai paimaana-e-sharaab mein kuchh
मआनी लफ़्ज़ों के पीरी में कुछ शबाब में कुछ
और उस के बारे में लिक्खा नहीं किताब में कुछ
पहुँच के देखा तो माँगे की रौशनी के सिवा
फ़लक के तारों में कुछ है न माहताब में कुछ
हर एक घूँट में यकसाँ नहीं थी तल्ख़ी-ए-मय
कि घोल देते हैं हालात भी शराब में कुछ
कई गुनाहों का इंदिराज ही नहीं मिलता
किसी से भूल हुई है मिरे हिसाब में कुछ
है तेरा अक्स कि मेरे ग़मों का साया है
नज़र तो आता है पैमाना-ए-शराब में कुछ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Om Krishn Rahat
our suggestion based on Om Krishn Rahat
As you were reading Haalaat Shayari Shayari