ghaafil hoon tiri yaad se aisa to nahin hai
har-waqt mere dil mein tiri yaad makeen hai
duniya-e-mohabbat badi dilkash hai haseen hai
har ek ko raas aaye zaroori to nahin hai
maana ki zamaane ka har ik naqsh haseen hai
is par bhi zamaane mein koi tujh sa nahin hai
ik arz-e-tamanna ke siva ham ne kiya kya
kis baat pe vo sholaa-badan cheen-b-jabeen hai
kya khaak ho mere dil-e-betaab ka darmaan
jab tujh pe tiri chashm-e-tavajjoh hi nahin hai
dil mein hai magar jazba-e-ikhlaas-o-mohabbat
vo khud hi khinche aayenge ye mera yaqeen hai
kya kahiye mohabbat mein ajab haal hai apna
nazrein hain kahi aur to dil aur kahi hai
rah rah ke khatkata hai jo har saans mein paiham
seene mein koi khaar hai ya qalb-e-hazeen hai
iqrar-e-wafa kar bhi chuki teri nigaahen
afsos tire lab pe magar phir bhi nahin hai
is but ka koi ahad bhi ifa nahin hota
kya is ka yaqeen jis ka na eemaan hai na deen hai
kya turfa-qayaamat hai meri vajh-e-tabaahee
vo poochte hain aur mujhe yaad nahin hai
sharminda-e-ehsaan main nahin raah-numa ka
aasi mera rahbar to mera azm-o-yaqeen hai
ग़ाफ़िल हूँ तिरी याद से ऐसा तो नहीं है
हर-वक़्त मिरे दिल में तिरी याद मकीं है
दुनिया-ए-मोहब्बत बड़ी दिलकश है हसीं है
हर एक को रास आए ज़रूरी तो नहीं है
माना कि ज़माने का हर इक नक़्श हसीं है
इस पर भी ज़माने में कोई तुझ सा नहीं है
इक अर्ज़-ए-तमन्ना के सिवा हम ने किया क्या
किस बात पे वो शो'ला-बदन चीं-ब-जबीं है
क्या ख़ाक हो मेरे दिल-ए-बेताब का दरमाँ
जब तुझ पे तिरी चश्म-ए-तवज्जोह ही नहीं है
दिल में है मगर जज़्बा-ए-इख़्लास-ओ-मोहब्बत
वो ख़ुद ही खिंचे आएँगे ये मेरा यक़ीं है
क्या कहिए मोहब्बत में अजब हाल है अपना
नज़रें हैं कहीं और तो दिल और कहीं है
रह रह के खटकता है जो हर साँस में पैहम
सीने में कोई ख़ार है या क़ल्ब-ए-हज़ीं है
इक़रार-ए-वफ़ा कर भी चुकीं तेरी निगाहें
अफ़्सोस तिरे लब पे मगर फिर भी नहीं है
इस बुत का कोई अहद भी ईफ़ा नहीं होता
क्या इस का यक़ीं जिस का न ईमाँ है न दीं है
क्या तुरफ़ा-क़यामत है मिरी वज्ह-ए-तबाही
वो पूछते हैं और मुझे याद नहीं है
शर्मिंदा-ए-एहसाँ मैं नहीं राह-नुमा का
'आसी' मिरा रहबर तो मिरा अज़्म-ओ-यक़ीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pandit Vidya Rattan Asi
our suggestion based on Pandit Vidya Rattan Asi
As you were reading Gham Shayari Shayari