maujon se takraaye hain ham toofaanon se khele hain
ik jeene ki khaatir ham ne kya kya sadme jhele hain
qalb-o-nazar ke afsaane ye raunaq-e-bazm-e-aish-o-tarab
jeete jee ki baatein hain sab jeete jee ke mele hain
un ke dam se raunaq-e-hasti un ke dam se ye duniya
khaak-basar hain zaahir mein jo log bade albele hain
ye apni himmat thi ham har mauj-e-balaa se paar hue
khel bahut dil-doz the warna taqdeer ne khele hain
sochte hain ham tishna-labon ko kis ne aaj nawaaza hai
kis ne apni mast nazar se rangeen jaam undele hain
un logon par kaash tari kuchh chashm-e-inaayat ho jaati
jin logon ne teri khaatir barson sadme jhele hain
aasi zeest ki raahon mein mil jaaye kisi ka saath magar
ye taqdeer ki baatein hain sab ye taqdeer ke mele hain
मौजों से टकराए हैं हम तूफ़ानों से खेले हैं
इक जीने की ख़ातिर हम ने क्या क्या सदमे झेले हैं
क़ल्ब-ओ-नज़र के अफ़्साने ये रौनक़-ए-बज़्म-ए-ऐश-ओ-तरब
जीते जी की बातें हैं सब जीते जी के मेले हैं
उन के दम से रौनक़-ए-हस्ती उन के दम से ये दुनिया
ख़ाक-बसर हैं ज़ाहिर में जो लोग बड़े अलबेले हैं
ये अपनी हिम्मत थी हम हर मौज-ए-बला से पार हुए
खेल बहुत दिल-दोज़ थे वर्ना तक़दीर ने खेले हैं
सोचते हैं हम तिश्ना-लबों को किस ने आज नवाज़ा है
किस ने अपनी मस्त नज़र से रंगीं जाम उंडेले हैं
उन लोगों पर काश तरी कुछ चश्म-ए-इनायत हो जाती
जिन लोगों ने तेरी ख़ातिर बरसों सदमे झेले हैं
'आसी' ज़ीस्त की राहों में मिल जाए किसी का साथ मगर
ये तक़दीर की बातें हैं सब ये तक़दीर के मेले हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pandit Vidya Rattan Asi
our suggestion based on Pandit Vidya Rattan Asi
As you were reading Kismat Shayari Shayari