meri duniyaa-e-dil zer-o-zabar hai
mohabbat ki nazar bhi kya nazar hai
hamaara bakht bhi kya auj par hai
mizaaj-e-dushmani zer-o-zabar hai
sehar tak khaak bhi baaki na hogi
ye bazm-e-maah-o-anjum raat bhar hai
meri maane to maane kya mera dil
ye kaafir aap ke zer-e-asar hai
ameer-e-shahr ko is se garz kya
faqeer-e-shahr kab se dar-b-dar hai
hamaara dil jise kahti hai duniya
agar poocho vo aasi hi ka ghar hai
मिरी दुनिया-ए-दिल ज़ेर-ओ-ज़बर है
मोहब्बत की नज़र भी क्या नज़र है
हमारा बख़्त भी क्या औज पर है
मिज़ाज-ए-दुश्मनी ज़ेर-ओ-ज़बर है
सहर तक ख़ाक भी बाक़ी न होगी
ये बज़्म-ए-माह-ओ-अंजुम रात भर है
मिरी माने तो माने क्या मिरा दिल
ये काफ़िर आप के ज़ेर-ए-असर है
अमीर-ए-शहर को इस से ग़रज़ क्या
फ़क़ीर-ए-शहर कब से दर-ब-दर है
हमारा दिल जिसे कहती है दुनिया
अगर पूछो वो 'आसी' ही का घर है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pandit Vidya Rattan Asi
our suggestion based on Pandit Vidya Rattan Asi
As you were reading Love Shayari Shayari