galat sab daleelen galat sab hawaale
andhere andhere ujaale ujaale
mere haal par fabtiyaan kasne waale
mabaada tujhe phoonk den mere naale
hamein jaan-o-dil se vo apna bana le
magar ham kahaan aisi taqdeer waale
mujhe waaz par waaz farmaane waale
agar koi teri bhi neenden chura le
hazaaron the duniya mein ikhlaas waale
magar gardish-e-waqt ne pees dale
rahe zindagi mein baja saii-e-paiham
muqaddar ka likkha magar kaun taale
mohabbat pe tera ye ehsaan hoga
mohabbat mein jee se guzar jaane waale
idhar to hai mahki fazaa-e-mohabbat
udhar zehan par chand yaadon ke jaale
haqeeqat hamesha haqeeqat rahegi
haqeeqat pe parde koi laakh dale
mohabbat ki nairangiyaan tauba tauba
kahi raatein raushan kahi din bhi kaale
koi dam ke mehmaan hain ai zindagi ham
jahaan tak tujhe raas aana hai aa le
agar meri hasti khatkati hai tujh ko
to le doob jaata hoon ai nakhuda le
kisi jaan-e-jaan ki amaanat hain aasi
ye ashkon ke toofaan ye aahen ye naale
ग़लत सब दलीलें ग़लत सब हवाले
अंधेरे अंधेरे उजाले उजाले
मिरे हाल पर फब्तियाँ कसने वाले
मबादा तुझे फूँक दें मेरे नाले
हमें जान-ओ-दिल से वो अपना बना ले
मगर हम कहाँ ऐसी तक़दीर वाले
मुझे वा'ज़ पर वा'ज़ फ़रमाने वाले
अगर कोई तेरी भी नींदें चुरा ले
हज़ारों थे दुनिया में इख़्लास वाले
मगर गर्दिश-ए-वक़्त ने पीस डाले
रहे ज़िंदगी में बजा सई-ए-पैहम
मुक़द्दर का लिक्खा मगर कौन टाले
मोहब्बत पे तेरा ये एहसान होगा
मोहब्बत में जी से गुज़र जाने वाले
इधर तो है महकी फ़ज़ा-ए-मोहब्बत
उधर ज़ेहन पर चंद यादों के जाले
हक़ीक़त हमेशा हक़ीक़त रहेगी
हक़ीक़त पे पर्दे कोई लाख डाले
मोहब्बत की नैरंगियाँ तौबा तौबा
कहीं रातें रौशन कहीं दिन भी काले
कोई दम के मेहमाँ हैं ऐ ज़िंदगी हम
जहाँ तक तुझे रास आना है आ ले
अगर मेरी हस्ती खटकती है तुझ को
तो ले डूब जाता हूँ ऐ नाख़ुदा ले
किसी जान-ए-जाँ की अमानत हैं 'आसी'
ये अश्कों के तूफ़ाँ ये आहें ये नाले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pandit Vidya Rattan Asi
our suggestion based on Pandit Vidya Rattan Asi
As you were reading Qismat Shayari Shayari