ye haaha-kaar kuchh hai
galat sarkaar kuchh hai
siyaasat yaar kuchh hai
watan se pyaar kuchh hai
mohabbat pyaar kuchh hai
hamein darkaar kuchh hai
ye us ke paar kuchh hai
maza majhndaar kuchh hai
kahi israar kuchh hai
ufuq ke paar kuchh hai
dava teemaar kuchh hai
mujhe aazaar kuchh hai
na tum vo ho na main hoon
samay ki maar kuchh hai
kise teri khabar doon
kahi ghar-baar kuchh hai
dilon mein rabt-e-baaham
agar dushwaar kuchh hai
sukoon se chain se hoon
yaqeenan haar kuchh hai
mohabbat aur aasi
pas-e-deewaar kuchh hai
ये हाहा-कार कुछ है
ग़लत सरकार कुछ है
सियासत यार कुछ है
वतन से प्यार कुछ है
मोहब्बत प्यार कुछ है
हमें दरकार कुछ है
ये उस के पार कुछ है
मज़ा मझंदार कुछ है
कहीं इसरार कुछ है
उफ़ुक़ के पार कुछ है
दवा तीमार कुछ है
मुझे आज़ार कुछ है
न तुम वो हो न मैं हूँ
समय की मार कुछ है
किसे तेरी ख़बर दूँ
कहीं घर-बार कुछ है
दिलों में रब्त-ए-बाहम
अगर दुश्वार कुछ है
सुकूँ से चैन से हूँ
यक़ीनन हार कुछ है
मोहब्बत और 'आसी'
पस-ए-दीवार कुछ है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pandit Vidya Rattan Asi
our suggestion based on Pandit Vidya Rattan Asi
As you were reading Dosti Shayari Shayari