dosti na ki hogi khel hi kiya hoga | दोस्ती न की होगी खेल ही किया होगा

  - Parveen Mirza

dosti na ki hogi khel hi kiya hoga
aap ne hamein socha gair khush hua hoga

meri rooh mein kitne zakham khil gaye dekho
koi dil ke aangan mein dard bo gaya hoga

jo bhi us se milta hai khwaab bunne lagta hai
kaun jaane kis kis se us ne kya kaha hoga

raaste mein pal bhar hi vo hamein mile bas phir
shehar mein kahaani ka silsila chala hoga

zindagi saja le phir aaine mein dekhoongi
mujh pe dard ka zewar kaisa lag raha hoga

khwaab aasmaanon ke dekhne lagin parveen
aise hi sitaare par naam rakh diya hoga

दोस्ती न की होगी खेल ही किया होगा
आप ने हमें सोचा ग़ैर ख़ुश हुआ होगा

मेरी रूह में कितने ज़ख़्म खिल गए देखो
कोई दिल के आँगन में दर्द बो गया होगा

जो भी उस से मिलता है ख़्वाब बुनने लगता है
कौन जाने किस किस से उस ने क्या कहा होगा

रास्ते में पल भर ही वो हमें मिले बस फिर
शहर में कहानी का सिलसिला चला होगा

ज़िंदगी सजा ले फिर आइने में देखूँगी
मुझ पे दर्द का ज़ेवर कैसा लग रहा होगा

ख़्वाब आसमानों के देखने लगीं 'परवीं'
ऐसे ही सितारे पर नाम रख दिया होगा

  - Parveen Mirza

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Mirza

As you were reading Shayari by Parveen Mirza

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Mirza

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari