un ko mere zabt-e-gham se bhi gila rah jaayega | उन को मेरे ज़ब्त-ए-ग़म से भी गिला रह जाएगा

  - Parveen Mirza

un ko mere zabt-e-gham se bhi gila rah jaayega
mushkilein jab khatm hongi hausla rah jaayega

rafta rafta dil bhi thehra aankh se aansu ruke
ham ye samjhe the ki ye gham jaan le kar jaayega

ek ik kar ke zameen se sab gale mil jaayenge
jaane-pahchaanon se rishta yaad ka rah jaayega

manzilon ki khwaahishein jab tod denge dil mein dam
jaane waalon ke liye bas raasta rah jaayega

aap ki aankhon mein utara hai to ujla ho gaya
kya khabar thi aks mera aaina ho jaayega

nisbatein ham se zameen ki chin gaeein parveen to kya
aasmaanon se hamaara raabta rah jaayega

उन को मेरे ज़ब्त-ए-ग़म से भी गिला रह जाएगा
मुश्किलें जब ख़त्म होंगी हौसला रह जाएगा

रफ़्ता रफ़्ता दिल भी ठहरा आँख से आँसू रुके
हम ये समझे थे कि ये ग़म जान ले कर जाएगा

एक इक कर के ज़मीं से सब गले मिल जाएँगे
जाने-पहचानों से रिश्ता याद का रह जाएगा

मंज़िलों की ख़्वाहिशें जब तोड़ देंगी दिल में दम
जाने वालों के लिए बस रास्ता रह जाएगा

आप की आँखों में उतरा है तो उजला हो गया
क्या ख़बर थी अक्स मेरा आइना हो जाएगा

निस्बतें हम से ज़मीं की छिन गईं 'परवीं' तो क्या
आसमानों से हमारा राब्ता रह जाएगा

  - Parveen Mirza

Emotional Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Mirza

As you were reading Shayari by Parveen Mirza

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Mirza

Similar Moods

As you were reading Emotional Shayari Shayari