poojne waale sabhi log hain farzaane ko | पूजने वाले सभी लोग हैं फ़रज़ाने को

  - Parvez Anjum

poojne waale sabhi log hain farzaane ko
poochta kaun hai is shehar mein deewane ko

guftugoo koocha-o-baazaar ki le aate hain
jaane kya log samjhte hain khuda-khaane ko

main banaya gaya eesaar-o-wafa ki khaatir
teri takhleeq hui zulm-o-sitam dhaane ko

ham se zee-fahm un aankhon ki piya karte hain
na-samajh log chale jaate hain maykhaane ko

tum se bigdi hui taqdeer hamaari na bani
ham to gulzaar bana dete hain veeraane ko

apni khaatir koi sougaat na maangi us ne
khat mein likkha hai mujhe laut ke aa jaane ko

us ne anjum lab-o-rukhsaar ki raanaai se
de diya rang-e-haqiqat mere afsaane ko

पूजने वाले सभी लोग हैं फ़रज़ाने को
पूछता कौन है इस शहर में दीवाने को

गुफ़्तुगू कूचा-ओ-बाज़ार की ले आते हैं
जाने क्या लोग समझते हैं ख़ुदा-ख़ाने को

मैं बनाया गया ईसार-ओ-वफ़ा की ख़ातिर
तेरी तख़्लीक़ हुई ज़ुल्म-ओ-सितम ढाने को

हम से ज़ी-फ़हम उन आँखों की पिया करते हैं
ना-समझ लोग चले जाते हैं मयख़ाने को

तुम से बिगड़ी हुई तक़दीर हमारी न बनी
हम तो गुलज़ार बना देते हैं वीराने को

अपनी ख़ातिर कोई सौग़ात न माँगी उस ने
ख़त में लिक्खा है मुझे लौट के आ जाने को

उस ने 'अंजुम' लब-ओ-रुख़्सार की रानाई से
दे दिया रंग-ए-हक़ीक़त मिरे अफ़्साने को

  - Parvez Anjum

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parvez Anjum

As you were reading Shayari by Parvez Anjum

Similar Writers

our suggestion based on Parvez Anjum

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari