kar duaaein ki duaon mein asar hota hai
mehnati haath ke hisse mein samar hota hai
ab faqeeron ko wahi taal diya karte hain
maal-o-daulat se bhara jin ka bhi ghar hota hai
aadha paani ho ghade mein to chhalakta hai bahut
jhuk hi jaata hai jo faldar shajar hota hai
in chataanon ko badal deta hai fan-paaron mein
meherbaan jin pe bhi vo jaan-e-hunar hota hai
muntazir baithe hain raaste mein bichha kar aankhen
dekhna ye hai ki kab un ka guzar hota hai
zulm ki aag ko itna na hawa do anjum
kaanp uthati hai zameen zulm agar hota hai
कर दुआएँ कि दुआओं में असर होता है
मेहनती हाथ के हिस्से में समर होता है
अब फ़क़ीरों को वही टाल दिया करते हैं
माल-ओ-दौलत से भरा जिन का भी घर होता है
आधा पानी हो घड़े में तो छलकता है बहुत
झुक ही जाता है जो फलदार शजर होता है
इन चटानों को बदल देता है फ़न-पारों में
मेहरबाँ जिन पे भी वो जान-ए-हुनर होता है
मुंतज़िर बैठे हैं रस्ते में बिछा कर आँखें
देखना ये है कि कब उन का गुज़र होता है
ज़ुल्म की आग को इतना न हवा दो 'अंजुम'
काँप उठती है ज़मीं ज़ुल्म अगर होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parvez Anjum
our suggestion based on Parvez Anjum
As you were reading Environment Shayari Shayari