bujha bujha sa gul-e-tar dikhaai deta hai
ajeeb shehar ka manzar dikhaai deta hai
main jis ke vaaste phoolon ka haar laaya hoon
usi ke haath mein khanjar dikhaai deta hai
ye shahar-e-sheeshaagaraan ko khabar nahin shaayad
har ek haath mein patthar dikhaai deta hai
yaqeen kaise karoon gair ki mohabbat ka
ki apna bhaai sitamgar dikhaai deta hai
qalam uthaane ka jis ko abhi shu'ur nahin
vo aadmi bhi sukhanvar dikhaai deta hai
nigaah daali hai jab se mere maseeha ne
bulandiyon pe muqaddar dikhaai deta hai
tumhaari bazm mein taariqiyaan hain kyun anjum
falak pe chaand sa dilbar dikhaai deta hai
बुझा बुझा सा गुल-ए-तर दिखाई देता है
अजीब शहर का मंज़र दिखाई देता है
मैं जिस के वास्ते फूलों का हार लाया हूँ
उसी के हाथ में ख़ंजर दिखाई देता है
ये शहर-ए-शीशागराँ को ख़बर नहीं शायद
हर एक हाथ में पत्थर दिखाई देता है
यक़ीन कैसे करूँ ग़ैर की मोहब्बत का
कि अपना भाई सितमगर दिखाई देता है
क़लम उठाने का जिस को अभी शुऊ'र नहीं
वो आदमी भी सुख़नवर दिखाई देता है
निगाह डाली है जब से मिरे मसीहा ने
बुलंदियों पे मुक़द्दर दिखाई देता है
तुम्हारी बज़्म में तारीकियाँ हैं क्यों 'अंजुम'
फ़लक पे चाँद सा दिलबर दिखाई देता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parvez Anjum
our suggestion based on Parvez Anjum
As you were reading Eid Shayari Shayari