hansta hai baar baar mera yaar dekh kar | हँसता है बार बार मिरा यार देख कर

  - Parvez Anjum

hansta hai baar baar mera yaar dekh kar
mujh ko museebaton mein girftaar dekh kar

ye kaarobaar-e-shauq hai vo sahib-hunar
samaan bechte hain khareedaar dekh kar

vo har qadam pe thokren khaate hain baarha
chalte nahin jo waqt ki raftaar dekh kar

pazmurda phool hai vo isee nau-bahaar ka
patthar na fenko tanj ka bekar dekh kar

vo log paasbaan-e-haram ho na paayenge
jo bhaagte hain lashkar-e-kuffaar dekh kar

hairat-zada rahega vo maidan-e-hashr mein
jo mujh ko tokta tha gunahgaar dekh kar

pyaare nabi ke nutq ka ej'aaz dekhiye
kankar bhi kalima padhte hain guftaar dekh kar

anjum watan ki yaad bhi shiddat se aa gai
ik maadar-e-ghareeb ko beemaar dekh kar

हँसता है बार बार मिरा यार देख कर
मुझ को मुसीबतों में गिरफ़्तार देख कर

ये कारोबार-ए-शौक़ है वो साहिब-हुनर
सामान बेचते हैं ख़रीदार देख कर

वो हर क़दम पे ठोकरें खाते हैं बारहा
चलते नहीं जो वक़्त की रफ़्तार देख कर

पज़मुर्दा फूल है वो इसी नौ-बहार का
पत्थर न फेंको तंज़ का बेकार देख कर

वो लोग पासबान-ए-हरम हो न पाएँगे
जो भागते हैं लश्कर-ए-कुफ़्फ़ार देख कर

हैरत-ज़दा रहेगा वो मैदान-ए-हश्र में
जो मुझ को टोकता था गुनहगार देख कर

प्यारे नबी के नुत्क़ का ए'जाज़ देखिए
कंकर भी कलिमा पढ़ते हैं गुफ़्तार देख कर

'अंजुम' वतन की याद भी शिद्दत से आ गई
इक मादर-ए-ग़रीब को बीमार देख कर

  - Parvez Anjum

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parvez Anjum

As you were reading Shayari by Parvez Anjum

Similar Writers

our suggestion based on Parvez Anjum

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari