jo baahar hai | जो बाहर है

  - Abuzar kamaal

jo baahar hai
vo bheetar hai

kuchh mat dhoondho
dil khandar hai

jaan leni thi
kya khanjar hai

tum andar ho
dil baahar hai

tanhaaiyaan
ghar-b-ghar hai

naghma-gar ki
aankhen tar hai

likhne me ham
peshe var hai

ham jaise to
chutki bhar hai

vo ladki hi
chaaragar hai

baahar ham hain
ghar shauhar hai

takkiye do hain
iq chadar hai

ye maatam bhi
bas shab bhar hai

जो बाहर है
वो भीतर है

कुछ मत ढूँढो
दिल खंडर है

जाँ लेनी थी
क्या खंजर है..?

तुम अंदर हो
दिल बाहर है

तनहाईयाँ
घर-ब-घर है

नग़्मा-गर की
आखें तर है

लिखने मे हम
पेशे वर है

हम जैसे तो
चुटकी भर है

वो लडकी ही
चारागर है

बाहर हम हैं
घर शौहर है

तकिये दो हैं
इक़ चादर है

ये मातम भी
बस शब भर है

  - Abuzar kamaal

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abuzar kamaal

As you were reading Shayari by Abuzar kamaal

Similar Writers

our suggestion based on Abuzar kamaal

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari