vaadiyon mein may-nosh ka aalam kya hoga
pee ke us mad-hosh ka aalam kya hoga
chakh li uski aankhon ki may jis jis ne
unke aql-o-hosh ka aalam kya hoga
choodiyaan itraati hon jiski qalaai mein
phir uske aaghosh ka aalam kya hoga
maine sirf tasavvur hi kiya khyaalaana
uske hum-aaghosh ka aalam kya hoga
koi kaanta gar dhoke se chubh jaaye
mere us gul-posh ka aalam kya hoga
tum bas meri aankhon mein dekho aur phir
dekho mere josh ka aalam kya hoga
dooben hain mehboob ki yaadon mein yun kamaal
aaj hama-tan-gosh ka aalam kya hoga
वादियों में मय-नोश का आलम क्या होगा
पी के उस मद-होश का आलम क्या होगा
चख ली उसकी आँखों की मय जिस जिस ने
उनके अक़्ल-ओ-होश का आलम क्या होगा
चूड़ियाँ इतराती हों जिसकी क़लाई में
फिर उसके आग़ोश का आलम क्या होगा
मैने सिर्फ़ तसव्वुर ही किया ख़्यालाना
उसके हम-आग़ोश का आलम क्या होगा
कोई कांटा गर धोखे से चुभ जाए
मेरे उस गुल-पोश का आलम क्या होगा
तुम बस मेरी आखों में देखो और फिर
देखो मेरे जोश का आलम क्या होगा
डूबें हैं महबूब की यादों में यूँ कमाल
आज हमा-तन-गोश का आलम क्या होगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abuzar kamaal
our suggestion based on Abuzar kamaal
As you were reading Romance Shayari Shayari